Akshay Tritiya Ka Tyohaar (05/03/2022)

May 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1535

     Akshay Tritiya Ka Tyohaar

Vaishaakh maas ke Shukla paksh kee teesri tithi hai aayi
Daan dekar akshay punya milne ka vardaan sangg hai laayi
Isliye is parv ka Akshay Tritiya hai naam
Bin mahoorat ke bhi is din shubh hotey Hain sab kaam.

Akha Teej kahein ya kahein Akti
Saamanjasya aur shubh sandesh laati hai bhakti
Maa Laxmi ne kee Kuber par dhan kee varsha is din par
Maana jaata hai ki ye parv hai naya karobar shuru karne ka shubh avsar.

Ved Vyasaji ne lee sahaayata Ganesh Bhagwaan se
Ve vaachak baney aur Ganeshji ne shuru kiya likhna
Yeh shubh kaam shuru hua Akshay Tritiya ke din par
Is tareh se Mahabharat kee hui thee rachna.

Raja Bhagirath kee tapasya hui safal
Hua Ganga Maiya ka avataran
Kaha jaata hai ki Mata Annapoorna ka bhi
Is din hua janam
Tabhi se is parv par reet hai
Ganga mein dubki lagaana
Aur vidhaan hai
Gareebon ko bhojan khilaana.

Is tyohaar se juda hai Brahmaji ke putr Akshay Kumar ka avataran
Pitron aur Devon ko til ka tarpan
Japp, tapp, havan, aur vrikshaaropan
Aur isee din Mahabharata ka yuddh hua khatm.

Bhagwaan Krishna ne Draupadi par kiya upkaar chawal ka ek daana khaakar
Chawal ke uss bartan ko Akshay patra honei ka diya vardaan
Aur Apne pyaare mitra Sudama ke ghar ko
Banaa diya sukh samriddhi kee khan.

Nibhaate huey Apne maanav roop ka dharam
Krishna ji ne rok liya Draupadi ka vastra-haran
Adi Shankaracharya ji ne Kanakdhaara stotra sunaaya
Aur ek nirdhan naari ka uddhaar karaaya.

Yamunotri aur Gangotri Dham ke kapaat
Khul jaate hain is avsar par
Banke Bihari ke mandir mein Prabhu ke charan
Dete Hain bhakton ko aaj ke din vigreha darshan.

Vivah ke liye shubh mahoorat hai yeh tyohaar
Vishnu Bhagwaan aaye is din lekar Parshuramji ka avatar
Is din ann, namak, kapadon, svarna, jau ka daan
Inke aur jal ke daan se hota hai bhakton ka kalyaan.

Deen dukhiya zarooratamand ka na karein uphaas
Is tyohaar ka hissa hai yeh sandesh khaas
Vaani aur vichaar mein laaein mithaas
Aur karte rahein sadhna ka abhyaas.

Kaha jaata hai ki is din sona chandi aadi khareedne se
Ghar mein hota hai sukh-samriddhi ka vaas
Iske sangg chod dein bann-na hum manovikaaron ke daas
Taaki apni oar se aur bhi badh jaaye atma-shuddhi ka prayaas.

Guruji ke bhakton ke liye Unhee mein baste Hain saare Bhagwaan
Guruji kahein ki karein hum gupt paath, gupt sewa, aur gupt daan
Guruji chaahein Unka bhakt banda baney aur aish karey
Sachchaayee ke raaste par chalne se kabhi bhi na darey.

Kewal tann ko nahin, balki antarmann ko shuddhi ke swarna se sajaayein
Dhan ke saath daya aur anukampa ka daan badhaayein
Kshamasheelta ko sachche dil se nibhaayein
Aur oordhvagati ke path par badhte jaayein.

Jis sadachari kee shiksha aur sandesh deta hai Akshay Tritiya ka tyohaar
Hum uska anusaran karein toh khush hongei humse paalanhaar
Guruji kee nazar se koi bhi apne kiye se bach paaye, kisee mein bhi veh dumm nahin
Aur Guruji humse khush hon, toh phir kisee baat ka bhi gumm nahin.

Akshay Tritiya laata hai yug badalne ka sandesh
Kyun na hum apne bheetar karein satyug mein pravesh
Bheetar ke parivartan se hee sudharega baahari spandan
Hum sahi mainey mein bande banenge toh hee safal hoga hamaara vandan.

Sabhi ke liye shubh ho Akshay Tritiya ka tyohaar
Saari sangat ko shubhkaamnaayein aur dhed saara pyaar
Guruji ke ashirwaad se tarr jaaye saara sansaar
Akshay sukh se sampann rahe sabka ghar parivaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Akshay Tritiya Ka Tyohaar (05/03/2022)

Leave a comment