Guruji Ke Prem Kee Bahaar (05/04/2022)

May 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1536

         Guruji Ke Prem Kee Bahaar

Aye zindagi, jabb jabb tumne dee thokar
Guruji kee mehar se Unke bhakt sambhal gaye khade hokar
Jabb jabb saamne aayi chunauti kee khaayi
Guruji ke pyaar se unn sabne hai himmat paayi
Guruji ne unhe khaayi ke paar pahunchaaya
Har pal unpar Apna ashirwaad barsaaya.

Sabse prabhavshali marham hai Guruji ka pyaar
Dil aur deh ka dard duur kar deta hai Unka dulaar
Jitnee baar chaaho Unkee mamta, miltee hai uss se kayi zyaada baar
Kyunki Unka prem toh hai nirantar behti divya bahaar.

Jisko bhi chhoo le ye bahaar beshak sirf ek pal ke liye
Uska honei lagg jaata hai kalyaan
Is bahaar ka ek jhonka hee kaafi hai
Dene ke liye Guru kripa ka daan.

Guruji ke prem kee bahaar kee khushboo mein hai aisa anokhapan
Ki bhakt kee ruh ho jaati hai iskee deewani
Ye bahaar deti hai beparavahi kee daat
Ye bahaar laati hai simran kee saugat.

Guruji ke simran mein khokar
Bhakt Shukrana karta hai is bahaar kee ruhaaniyat ka
Guruji kee niswaarth sewa aur Unhe samarpan karte karte
Aadar badhne lagta hai Unkee inaayat ka.

Guruji ke prem kee bahaar nikhaar deti hai bandagi
Guruji ke prem kee bahaar sanvaar deti hai zindagi
Guruji ke prem kee bahaar laati hai santosh ka paigaam
Guruji ke prem kee bahaar is kalyuga kee dhoop mein hai sheetal dham.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Prem Kee Bahaar (05/04/2022)

Leave a comment