Buddha Poornima (05/16/2022)

May 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1548

  Buddha Poornima

Vaishakh maas kee poornima hai ek mahaan utsav
Is din Gautam Buddha ke janam se anugrihit hua yeh jagg
Nepal ke Lumbini mein dharti par aaye Bhagwaan Vishnu ke ye avatar
Unkee vadiyaayee se tarne laga yeh saara sansaar.

Unke pita thei Ikshvaaku vansh ke raja Shuddhodan
Aur mata ka naam thaa Mahamaya
Kewal ek saptaah ke liye in navjaat shishu Siddharth Gautam ne
Janam dene wali maa ka pyaar paaya.

Ve chal baseein
Aur Unkee behen Gautami ne kiya Siddharth ka paalan poshan
Siddharth ka putr hua Yashodhara se vivah honei ke pashchaat
Aur Rahul naamak is baalak se Unka ghar ho gaya roshan
Lekin kuch varsh baad Unhonei grihasth ko tyaaga
Sansaar ka dukh, mrityu, roag dekhkar Unke mann mein uthne lagey thei kayee prashn.

Satya kee khoj mein nikal gaye chod kar saara rajya
Bachpan se hee jo itne dayalu thei, Unhe ho gaya thaa vairaagya
Yog sadhana mein rahe Ve anek saal
Phir divya mahima se safal huey Unke sawaal
Ashwatth ke taruvar ke neeche baithkar dhyan mein
Vaishakh Poornima par hee Unhe praapti hui gyan kee
Peepal ka naam hua Bodhivriksh aur Bodhgaya hua Gaya ka naam
Saral tareeke se insaaniyat ka dharam nibhaane ka dene lagey Siddharth Gautam paigaam.

Apne anuyaayiyon kee madad se
Unhonei madhyam bhaag ka upadesh dete huey kiya dharma ka prachaar
Vaishakh Poornima par hee hua Unka
Mahaparinirvaan
Jiska zariya banaa Kundaa naamak lohaar.

Kundaa se jo bhojan Gautam Buddha ne kiya thaa sweekar
Usey khaa kar Ve huey adhik beemar
Kundaa bekusoor thaa, Unhonei Apne mitr Anand ko bataaya
Yahee satya Anand ne Kundaa ko samjhaaya.

Aaj bhi duniya ke konei konei mein
Gautam Buddha ke upadesh ka hota hai prachaar
Aisee mahaan atmaaon ke ashirwaad se
Anugrihit hai sampoorna sansaar.

Daya ahinsa saamanjasya aur dharam
Satya neevanpann nishtha aur karam
Sadhna aur dhyan
Adhyaatmik gyan
Duuri har vikaar se
Duuri paap ke karma aur vichaar se
In sabb sadachari ke gunon par Gautam Buddha ne diya zor
Kitnon ne Unkee prerna kee thaam lee hai dor.

Guruji bhi kahein Apne har bhakt se
Ki veh β€˜banda bann’ jaaye
Sadhusheelta aur sadachari ka karey anusaran
Bhog karte huey nibhaaye insaaniyat ka dharam.

Kitne bhaagyashaali hain hum sabb
Ki Mahapurushon ke roop mein hamein mil gaye Rabb
Sabhi ko Buddh Poornima kee haardik shubhkaamnaayein
Aayiye, jagg ko apna sarvashreshth yogdaan dein aur insaaniyat ka dharam nibhaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Buddha Poornima (05/16/2022)

Leave a comment