May 21, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1553
Saj Jaayega Jeevan
Zubaan par na aa paaye arzi
Toh bhi na karna tum fikr
Guruji toh jaanein tumhaare dil kee baat
Chaahe Ve na karein is satya ka zikr.
Guruji toh Hain antaryaami
Hum hain sangat nimaani
Lekin tumhaari arzi se kaheen zyada mahatva rakhta hai tumhaara kalyaan
Aur Guruji kabhi na chaahenge ki Unke bhakt ka bigad jaaye kaam.
Tabhi toh Ve kehte Hain ki bhakt zidd na karey
Varna Unhe uske abheesht kee karni padegi poorti
Is se Guruji ko na hogi prassannataa
Kyunki uss abheesht mein zaroori nahin hai ki hogi bhakt kee sampannataa.
Guruji kee vaddi hai vadiyaayee
Aur samarpan mein hai hamaari bhalaayee
Yeh tathya hai seedha aur bilkul suljhaa hua
Buss, mann hee hai jo hai uljhaa hua.
Uljhe huey mann ko suljhaayega Guruji ka simran
Simran se duur ho jaayegi mann kee har uljhan
Maangne ke bajaaye maan-ne lagg jaayega mann
Aur fikr ke bajaaye shukr se saj jaayega jeevan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja