May 31, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1563
Jab Jab Guruji Ko Yaad Kiya
Jab jab Guruji ko yaad kiya
Unhe paaya apne paas
Bin yaad kiye bhi aksar
Dilaate Hain Ve Apni maujoodagi ka ehsaas.
Chola choda Guruji ne
Lekin bhakton ka saath nahin
Jis divya haath ne hamein kal thaama thaa
Aaj bhi Hai Unka haath vahee.
Guruji ka haath
Guruji ka saath
Guruji kee dee hui har daat
Ye hai anant saugat.
Yaad dilaate Hain Ve khaaskar aaj ke din
Ki jisne liya janam, usey chodna hee hoga shareer
Sikhaate Hain Guruji hum sabko har din
Ki is janam mein sanvaar lein hum aane wale janmon kee taqdeer.
Karein Unka simran, karein Unka dhyan
Na rahein saanson kee kshanbhangurtaa se anjaan
Karein Unke kiye har kalyaan ka sammaan
Koshish karein doojon ke chehre par laayein muskaan.
Paakar Guruji ka paawan pyaar
Khul jaata hai uddhaar ka dwaar
Jod kar Unse seedhi taar
Ho sakta hai bhavsaagar paar.
Guruji kee divyata hai Unke anant paraakram ka raaz
Tabhi toh khaamoshi mein bhi sunaayi deti hai Unkee awaaz
Aaj bhi hota hai aur sada hoga Unkee maujoodagi ka ehsaas
Kyunki Guruji ne deh chodi, lekin Ve Hain hamaare bheetar aur aaspaas.
Karein hum Guruji ke vachan ka anusaran
Unkee mehar se sudhaarein hum apne karam
Shukrana karein ki Unhonei dee hamein sharan
Poojya Guruji ke charnon mein koti koti naman.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja