Aisa Badappan Hai Guruji Ka (06/30/2022)

June 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1593

       Aisa Badappan Hai Guruji Ka

Prem kee pratima kahoon Guruji ko
Toh veh paryaapt stavan nahin hai Unke pyaar kee aseemta ka
Saamarthya ka saagar kahoon Guruji ko
Toh veh kaafi varnan nahin hai Unkee kshamtaa ka.

Ashirwaad ka aasmaan kahoon Unhe
Toh aasmaan kuch nahin hai Unke ashirwaad ke samaksh
Prerna ka paalna kahoon toh paalna mein samaa hee nahin sakti utnee prerna.

Bakhshish kee bagiya kehna chaahoon toh yaad aaye
Ki bagiya chhoti aur Guruji kee bakhshish kee hai vaddi vadiyaayee
Gyan ka stotra kehti hoon Guruji ko
Toh mann mein aata hai ki anant hai Unke gyan kee gehraayee.

Guruji kee toh ek nazar hee
Kaafi hai uddhaar ke liye
Guruji kee nadar toh hai
Sampoorna sansaar ke liye.

Na naapa jaaye, na tola jaaye
Na gaaya jaaye, na bola jaaye
Guruji ke mahatmay ko
Guruji kee mahaanta toh aisa geet hai jo har pal goonjta hai brahmaand mein
Guruji kee mahima toh aisa dhan hai jo badhta hee jaata hai
Sansaar mein bhakt jann toh anginat hain Guruji ke
Lekin koi virla hee Unka diya asal dhan maangta aur paata hai.

Sunkar Guruji kee mahaanta ka geet
Har koi tarr jaata hai
Lekin koi virla hee
Asal dhan ko paata hai.

Guruji se har sukh suvidha paakar
Har kisee ka bhaagya sanvar jaata hai
Lekin koi virla hee
Asal dhan ko paata hai.

Is asal dhan ko dete huey
Guruji hotey Hain ati-prassann
Yahee vo dhan hai
Jis se bhakt kee atma takk hoti hai sampann.

Aisa badappan hai Guruji ka
Aisa hai Unka prabhutwa
Pooran Guru Hain Guruji
Aisa hai Unka Gurutva.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aisa Badappan Hai Guruji Ka (06/30/2022)

Sahi Lagey Ya Galat (06/29/2022)

June 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1592

 Sahi Lagey Ya Galat

Moh nahin, lekin pyaar toh basaa lein bhaav mein
Ye duniya nahin hai kisee kee bhi jageer
Kisee ko apne pyaar se vanchit karne se
Hum na bann jaayenge pehle se zyaada ameer.

Na duniya apni hai na ye saansein
Aao do chaar pal ke liye mil kar hansein
Ya phir lein sirf muskuraa
Kya maalum kiska waqt hai aa raha?

Waqt, is duniya ko chod ke jaane ka
Usee mitti mein mil jaane ka
Jiske oopar hum chalte hain bin kiye yaad
Ki isee mein mil jaana hai aakhiri saans ke baad.

Hum mein se kewal kuch janon kee hoti agar ye kahaani
Toh shaayad siddh kar sakte thei hum apni bahaanebaazi aur aanakani
Lekin hum waakif hain is sachchaayee se
Ki jeet nahin sakta koi bhi Khudaayee se.

Phir kaahe kee kanjoosi pyaar dene mein
Kyun kisee ka dil dukhaana
Sabhi panch bhoot se banei hain
Aur sabhi ne unhee mein hai samaa jaana.

Vaise bhi Guru Govind ke alaawa
Koi kisee ko bhi poori tareh se na hai samajh paaya
Arey, ye toh phir bhi duur kee baat hai
Kitnon ne toh swayam ko hee na jaan kar kiya hai waqt zaaya.

Guruji khush hotey Hain dekhkar saamanjasya
Unke bhakt hain hum, Unka anusaran karna hai hamaara kartavya
Ye paisa, yash, ahem, paap, aur naaraazagi
Kyun kharaab karein in sabse ye zindagi?

Is se behtar hai ki simran se apne bheetar jaayein
Dhyan dwaara samanvay(reconcilation) aur atmabodh ( self realization) kee oar jaa paayein
Ruhaani rass mein yoon ramte jaayein
Ki na vichlit karein mann ko chhoti ya badi balaayein.

Dukh bhi baantein, sahaanubhooti se doojon ke ghaav bharein
Mann se har pal Guruji ke charnon mein sees dharein
Guruji kahein aasakti ke bin pyaar karein
Na jaane hum phir bhi kyun intazaar karein
Arey, na jaane kitney pal miley hain hamein tumhe
Kyun na Guruji kee baat maankar jee lein unhe?

Guruji kee bakhshi saanson ka
Karein Unke hukm anusaar prayog
Yahee hai tareeka Unhe prassann karne ka
Ismein nahin hai koi ittifaaq ya sanyog.

Faisla hai hamaare haath mein
Kyunki ye hai hamaari swatantra ichcha aur neeyat
Is mein Guruji hastakshep nahin karte
Sahi lagey ya galat, yahee hai hakeekat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sahi Lagey Ya Galat (06/29/2022)

Aapka Vaas (06/28/2022)

June 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1591

                      Aapka Vaas

Pyaare Guruji,

Aap maanav shareer mein Shivji ke avatar
Sangat ke liye Aap bhakti ka aadhaar
Niyati ke nirmaata, Nirankaar
Bandagi ke bakhshanhaar.

Devta Hain Aap dharma ke
Gyata Hain Aap sabke har karma ke
Daata Hain Aap praan ke
Annadaata Hain Aap Apni har santaan ke.

Rakshak Hain har sangat ke parivaar ke
Darshak Hain bhakton ke vyavhaar ke
Jaan-ne wale Hain sabke har vichaar ke
Rakhwale Hain Aap sabke ghar-baar ke.

Peer bhi Aap, Aap hee Prabhu
Meet bhi Aap, Aap hee bandhu
Aap Hain murshid, Aap hee Maa
Aap hee Hain Guruji, Aap hee Gurupaa.

Amrit vaani hai Aapka har vachan
Anmol prasad hai Aapka darshan
Nirmal, ati nirmal hai Aapka ehsaas
Atma ke anant aur anu mein hai Aapka vaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapka Vaas (06/28/2022)

Omkara (06/27/2022)

June 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1590

                          Omkara

Guruji kee jyot noorani
Rutba hai aalishaan
Neevanpann anupam anoop hai Unka
Leela Unkee hai mahaan.

Karuna kee khan Hain Guruji
Nyaaya ke Hain divya stambh
Sangat ke liye Bhagwaan Hain Guruji
Anant, Ashutosh, Adambh.

Mahasaagar Hain Guruji pyaar ke
Hain anukampa ke aanchal
Jeevandaata Hain Guruji
Hain Ve amrit se urvar baadal.

Sangat ke maargdarshak Hain Guruji
Samrat Hain adhyatmik shikhar ke
Har sewak ke maalik Hain
Sanchaalak Hain sabki dagar ke.

Prashansa ke pavitra supaatr Hain Guruji
Hain bhakton dwaara Ve archit
Hain ruhaaniyat ka sowmya swaroop
Hain Ve mann mandir mein susajjit.

Dukhiyon ke Deenanath Hain Guruji
Hain Ve anmol aur amar ehsaas
Saathi Hain Ve har pal
Hain Ve humsafar aur humraaz.

Insaaniyat ke samarthak Hain Guruji
Hain Ve har bhakt jann ka sahaara
Swayam hee ishwareeya prakash Hain Guruji
Hain Ve ruhaani roop mein Omkara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Omkara (06/27/2022)

Paana Hai Santosh Ke Dhan Ko (06/26/2022)

June 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1589

     Paana Hai Santosh Ke Dhan Ko

Na chheen sakta hai koi tujhse
Tere hisse mein hai jo khushi
Na hee koi baant sakta hai tere saath
Jo hai tere hisse ka gumm
Lekin kitnee hai khushi aur kitna hai gumm
Veh Guruji ke lekh likhne se
Sanvar sakta hai ek dumm.

Har kisee ke liye apne hee karmon ka bhaar sehna ek chunauti si hoti hai
Koi uss dauran sahaanubhooti dena seekh jaata hai
Koi vikaaron mein ulajh jaata hai
Koi chaahta hai hona saansaarik janjaalon se duur
Koi swayam ko paata hai bhautikvaad aur aakarshanon se majboor.

Khushi ya gumm na kar paaye hamaara shoshan
Isliye anivaarya hai karna atma ka sahi poshan
Jabb atma ke bheetar divyata ka diya rahega roshan
Toh hota rahega aantarik shodhan.

Sabhi kee atma mein hai divyata ka diya
Khushakismat hai vo jisne uskee lau ko pehchaan liya
Hum sabhi hain is khushakismati ke haqdaar
Is haq ke liye zaroori hai dhyan mein baithna baar baar.

Guruji kehte Hain hum rakhein sakaraatmak vichaardhaara
Hamaara kalyaan nishchit hai Unke ashirwaad dwaara
Dikhaaya hai Unhonei raasta sewa, satsang, aur simran ka
Sikhaaya hai mahatva Shukrana aur samarpan ka.

Jo khushiyaan hamaare bhaagya mein nahin
Guruji toh hum par ve khushiyaan bhi barsaa sakte Hain
Unkee oar hamaare ek kadam ko badhaane
se
Ve hamaari oar anginat kadam badhaa sakte Hain.

Gumm ko kumm karne ka raasta bhi yahee hai
Ki Guruji kee oar kadam hum badhaayein
Guruji se maangein ashish
Ki Unke dikhaaye raaste par hum chalte jaayein.

Jeevan mein khushi ho ya ho gumm
Karte rahein is raaste ka anusaran
Jeevan mein chaahe aate rahein khushi ya gumm
Na bigadne dein apne antakaran ka santulan.

Isliye simran dwaara sthir kar ke mann ko
Paana hai saantosh ke dhan ko
Kyunki duniyavi khushi nahin hai sanatan
Aur gumm bhi hai mehmaan
Guruji ke sangg rishta hai anant
Yahee rishta hai sabse sukhdaayee aur mahaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Paana Hai Santosh Ke Dhan Ko (06/26/2022)

Jaagriti Ka Deedar (06/25/2022)

June 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1588

                  Jaagriti Ka Deedar

Jis jaagriti ka tujhe hai intazaar
Veh pehle se hee hai tere bheetar maujood
Darasal tujhe intazaar hai uske ehsaas ke honei ka
Taaki tu mehsoos kar paaye uska vajood.

Isliye baahar mein khud ko na kho
Jaagrit hai tu, gehen nidra mein kyun raha hai so?
Jaagriti ka deedar kar
Jaakar swayam ke bheetar
Guruji kee kripa hai tujhpar
Na chod koshish ka koi bhi avsar.

Guruji toh Hain itne udaar
Kehte Hain ki chodna nahin hai ghar-baar
Bhog bhog kar khush rehna hai
Aur dil se Unhe Shukrana kehna hai.

Unke kahe anusaar sunn sunn kar Gurbani
Sanvarti gayi hai kitnon kee zindagaani
Duniya bhautikvaad kee hui hai deewani
Virlon ne asal dhan kee ahamiyat hai jaani.

Agar tu paana chaahta hai asal dhan
Toh ekaagrachitt kar le apna mann
Dincharya ke saath saath karta chal simran
Bhool matt ki kewal mehmaan hain tann aur bhautik dhan.

Yaad rakh har pal ki karmon ka katna hai zaroori
Isee se kumm hogi teri atma kee Paramatama se duuri
Tera yeh janam toh kewal ek pehlu hai teri atma ke safar ka
Aur is safar ka anjaam mohtaaj hai har pehlu ke asar ka.

Doojon ke karam par tera zor nahin
Tu buss apni oar se apne karam rakh sahi
Jo koi nahin dekh sakta veh Guruji toh dekhte Hain yakeenan
Apne har bhakt par Unkee nigaah rehti hai har kshan.

Beete huey janam aur pehlu nahin tere vash mein
Isliye is janam ko bita de tu poori koshish mein
Ki Guruji ka hukm maan kar tu jaaye tarr
Aur sankishpt ho sakey atma se Paramatama ka tera safar.

Apni har soch, apni har kriya mein reh sachet
Kathin hai, par koshish kar sabhi mein divyata ko dekh
Simran, dhyan, sadhna ko banaa jeevan ka niyam
Anaasakt pyaar ka prayaas kar, nibha tu daya, gupt daan aur sewa ka dharam.

Tu mehsoos kar paayega khud ko jaagrit
Kisee bhaar ke taley na dabega tera chitt
Teri har saans mein hoga shukrana aur samarpan
Tera sukh dukh hoga Guru charnon mein arpan.

Jaagriti se tera yeh deedar
Aasaan karega tera pahunchna uss paar
Jahaan takk pahunchna zaroori hai
Agar mitaani atma kee Paramatama se duuri hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jaagriti Ka Deedar (06/25/2022)

Kar Lein Simran, Aur Kar Lein Dhyan (06/24/2022)

June 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1587

 Kar Lein Simran, Aur Kar Lein Dhyan

Guruji chaahein hum karein simran aur dhyan
Inmein hai har samasya ka samaadhaan
Jabb lagey mann hai veeraan
Kar lein simran, aur kar lein dhyan.

Jiskee manzil ho param gyan
Jisey hai apne Guru ka sammaan
Jo jaanta hai ki har shwaas hai anmol daan
Veh karte huey divyata ka maan
Awashya karega simran aur dhyan.

Abaadh kram mein hain simran aur dhyan
Ek dooje se bhinn nahin hai inka parinaam
Ek saatatya sa banta hai jabb ho jaata hai simran karte karte dhyan
Jitna karein, anand milta hai mahaan.

Simran aur dhyan se tarr sakta hai har insaan
Guruji kee kripa se hum na rahein is tathya se anjaan
Isee ke abhyaas se chhootega jhootha abhimaan
Varna jokhim mein hee rahegi hamaari jaan.

Kyunki jabb takk vikaar rahenge soch aur vyavhaar mein pradhaan
Tabb takk chitt rahega pareshaan
Kyunki aasakti na honei degi saavdhaan
Aise mein kaise milega mukti ka mukaam?

Isliye adhyaatmik udaan ke dauran
Dene hongei zindagi ke imtehaan
Apne bheetar mein advait kee karni hogi pehchaan
Karte huey simran aur dhyan.

Guruji toh Hain karunanidhaan
Karna chaahte Hain hamaara kalyaan
Isliye jabb takk hain tann mein praan
Guruji kee mehar se hum kar lein simran, aur kar lein dhyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Lein Simran, Aur Kar Lein Dhyan (06/24/2022)

Kal Aaye Ya Na Aaye (06/23/2022)

June 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1586

 Kal Aaye Ya Na Aaye

Kya maalum kal aaye ya na aaye
Hamaari is zindagi mein
Isliye kyun na har saans se simar lein
Guru Govind ka naam hum bandagi mein.

Koshish karein ki kumm se kumm pal hon aise
Jabb sir jhukaana pade sharmindagi mein
Guruji ne banaaya hai hamaare liye ye aasaan
Kyunki Ve dariyadil Hain bakhshindagi mein.

Kya maalum kal aaye ya na aaye
Miley ya na miley priya janon se kehne ka avsar
Ki ve hamein pyaare hain
Isliye keh dein mauka miley jis pal.

Sudhaar lein apne vichaar aur apna vyavhaar
Beete kal kee maayusi se na mehsoos karein laachaar
Aane wale kal ke liye na himmat dein haar
Lekin yaad rakhna na bhoolein baar baar
Ki is janam maran ke khel mein
Koi insaan na bach paaye
Karmon kee is heir-pher mein
Kal aaye ya na aaye.

Veh daan jo mann mein hai ki karenge agley saal
Usey gupt rakh kar kar dein bin kisee sawaal
Veh khaami apni, jis se waakif hain hum
Uspar kaam karna aaj, balki abhi kar dein aarambh
Jaane anjaane mein kee hain jo gustaakhiyan
Maang lein Guruji se is pal hee kshamaa
Baad mein na ye dil pachhtaaye
Kya maalum kal aaye ya na aaye.

Kya maalum hamaare jeevan mein
Kal aaye ya na aaye
Agar ye soch kar mann ghabraaye
Toh mann ko har koi samjhaaye
Ki ye pal bhi hain paraaye.

Miley Hain ye pal udhaar par Nirankaar se
Taaki inhe jeene mein hum khud ko sanvaar lein
Guruji kee mehar se inka sadupyog karein satkaar se
Unhonei diye Hain hamein ye pal bade pyaar se.

Aaj se shubh koi din nahin
Abhi se shubh koi pal nahin
Kyunki aaj aur abhi hai vash mein hamaare
Bahut fark padta hai ki hum inhe kaise guzaarein
Kya maalum is safar mein
Kal aaye ya na aaye
Is kshan mein jee lein sahi tareh se
Taaki abb bhi baat bann jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kal Aaye Ya Na Aaye (06/23/2022)

Pradhaanta (06/22/2022)

June 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1585

                       Pradhaanta

Beete huey kal mein jo bhi hua
Uspar toh tera zor nahin
Lekin aane wale kal ke liye tu kuch na karey
Tu itna kamzor nahin!

Isliye Guruji ka lekar tu naam
Karta chal apna kaam
Jin galatiyon ka ho gaya hai tujhe ehsaas
Unhe doharana matt
Guruji tere bheetar aur angg sangg Hain
Ve denge tujhe sumat.

Ho sakta hai tujhmein ho koi vikaar
Usey tyaagne ka kar prayatna
Har soch aur kaarya mein sachet rehkar
Uss vikaar ko duur karne ka kar tu yatna.

Ho sakta ki tu aisa insaan ho
Jiskee nekneeyati ka faayda uthaate hon loag
Toh swayam ka atmabal yoon badha
Ki tujhe doojon kee vajeh se thaise ka na karna padey bhog.

Agar teri oar se mehnat ya shraddha thi kumm
Toh sudhaar ka sachet prayaas kar bin kiye gumm
Guruji bahut dayaalu Hain, zaroor dete Hain sudharne ka avsar
Buss, tu Unke har hukm ko rakh sir aankhon par.

Laparwahi ya dvesh ya aalasya agar hai tere vyavhaar mein
Toh unhe badhaava na de bekaar mein
Kyunki anmol hai zindagi ka har pal
Har pal agley pal bann jaata hai beeta hua kal.

Guruji toh vaastavik jeevan jeene ke liye kehte Hain
Unhe yakeenan na bhaata hoga jabb hum anyaaya karte ya sehte hain
Aur agar tujhe grast kar rahe hain karmakaand aur andhvishwaas
Toh Guruji kee kripa se inse kamzor na kar apne shwaas.

Balki har shwaas ko simran se sajaa le
Har shwaas se Guruji ka naam lekar usey shaktishali banaa le
Gupt paath, sewa aur daan kar
Ruhaani vimaan mein udaan bhar
Khud bhi jee doojon ko bhi jeene de
Kisee aur ko apna sukh chayyn na chheen-ne de.

Jisey kadar hai tere pyaar kee, uske saamne vyakt kar pyaar
Har kisee ko duayein deta chal, iska bahut zarooratmand hai saara sansaar
Tu karta chal apni atma ka poshan
Na karne de kisee ko apna shoshan.

Apni kee gayi galatiyon ke liye maang le kshamaa
Sakaaratmak soch se sudhaarta chal aaj ka samaa
Is se tera aane wala kal hoga guzare huey kal se behtar
Na chod apni oar se koshish karne ka tu koi bhi avsar.

Duniya toh tujhse ek pal khush hogi aur dooje pal naaraaz
Tera rishta Guruji aur ruhaaniyat ke sangg sada hoga tere kalyaan ka raaz
Kyunki is se kal milega jo sukh, uskee nahin hai koi samaantaa
Isliye β€˜banda bann’ aur apne aaj aur aane wale kal ko deta chal pradhaantaa.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pradhaanta (06/22/2022)

Satyuga Ka Sooraj (06/21/2022)

June 21, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1584

               Satyuga Ka Sooraj

Satyuga ka thaa sundar saaz
Lekin kewal Ishwar ko maalum thaa raaz
Ki tretayuga, dwaapar aayega uske baad
Aur phir hoga kalyuga aabaad.

Chandd aksharon ka fark hai
Aabaad aur barbaad mein
Lekin pehle se dooje takk pahunchne ka chhota hai safar
Jabki dooje se pehle par vaapis lautne mein
ho jaata hai yugon ka asar.

Kyunki oonchaayee se girne mein waqt nahin lagta janaab
Jab ki oonchaayee takk pahunchne mein umr beet jaati hai
Aisa hee hota hai adhyatmik safar mein bhi
Jo safal ho jaaye toh hee atma sukh paati hai.

Adhyatmik safar mein vifalta kalyuga mein hai prabal
Kyunki bhautikvaad aur vikaaron se kumm hua hai atmabal
Baahar se jo lagta hai aksar roab wala
Veh ruhaani taur par hota hai nirbal.

Ye satya hai ki bahut unnati laaya hai vigyaan
Lekin phir isee se badh gaya hai β€˜mai’ aur abhimaan
Swayam ko karta maan kar
Samarpan aur neevanpann bhool baitha hai insaan.

Kalyuga kee beshak hai ye hawaa
Lekin dua se badi nahin ho sakti dawaa
Dua ka veh spandan hai is baat ka gavaah
Jiske prabhaav se kaam karti hai dawaa.

Isee hawaa mein jaise jaise badhta rahega
Niswaarth sewa, aur simran ka spandan
Jaise jaise is hawaa par asar karega
Guruji kee mahima ka gungaan aur Unka vandan
Vaise vaise hawaa mein sakaaraatmak oorja ke badhne se sudhartaa jaayega spandan.

Guruji Hain itne mahaan
Ve chaahein hum karein gupt sewa, paath, aur daan
Na aaye hum mein abhimaan
Aur neeven rehkar hum banein changey insaan.

Adhyaatmikta aur ahankar bann nahin sakte meet
Ahankar tyaagna zaroori hai agar nibhaani hai Guruji se preet
Vikaaron aur paapon se peedit hai saara sansaar
Ismein ahankar hai bahut bada gunehgaar.

Jeevan saadaa aur saral banaayein agar hamein hai tarna
Guruji sangg Hain, phir kaisa darna
Apna farz nibhaate huey gehra karein bhakti ka rangg
Shraddha aur saboori se chalein waqt ke sangg.

Waqt ka jharna toh behta jaayega
Satyuga zaroor laut kar aayega
Srishti ke is parivartan mein kyun na dein hum apna yogdaan
Adhyaatmik oonchaayee haasil karne kee koshish karein tyaagkar abhimaan.

Yeh karna mumkin nahin divyata ka saath chod kar
Guruji hamein manzil takk le jaayenge aur saath rahenge har moad par
Raasta banta chalega vikaaron kee har baadha ko toad kar
Satyuga ka sooraj phir se uday hoga adhyaatmik oonchaayee kee bhor par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satyuga Ka Sooraj (06/21/2022)