Dikhaaya Hai Unhonei Raasta (06/10/2022)

June 10, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1573

        Dikhaaya Hai Unhonei Raasta

Guruji ka Shukrana
Ki dikhaaya hai Unhonei raasta
Raasta sewa aur simran ka
Raasta satsang ke dhan ka
Raasta, jismein vehem ka sthaan nahin
Raasta, jahaan vikaaron ka maan nahin.

Raasta, saadagi hai jiske har kadam par
Raasta, jahaan Guruji ke naam ka marham lagta hai har gumm par
Raasta, jahaan bhaav kee hai ahamiyat
Raasta, jahaan barasti hai Guruji kee rehmat.

Yeh raasta hai chhal-kapat se bahut duur
Yeh raasta ahankar ko karta hai chuur chuur
Yeh raasta hai saralta aur taralta kee oar jaane ka
Yeh raasta hai komalta aur nirmalta apnaane ka.

Yeh raasta hai dhyan ka
Yeh raasta hai kalyaan ka
Yeh raasta hai bhog bhogne ka bin aasakti ke
Yeh raasta hai aatmabal badhaane ka, Guruji dwaara dee gayi shakti se.

Yeh raasta hai niswaarth preet ka
Yeh raasta hai preet kee jeet ka
Yeh raasta hai preet mein haar ka
Yeh raasta hai swayam mein sudhaar ka.

Yeh raasta hai jaagriti ka
Yeh raasta hai adbhut aakriti ka
Yahaan kaante chubhne se bhi hota hai bhalaa
Yahaan phool khilne kee ruhaani hai kala.

Yahaan Khuda ko paane ke liye khud ko padta hai khona
Yahaan ruhaani prem mein bhool jaata hai jaagna aur sona
Yahaan ullas aur malang ka shor bhi hai
Yahaan vichaarmagn rehne ka moad bhi hai.

Yahaan niraasha kee raat mein bhi yoon jalte hai bhakti ke diye
Maano Guruji ne raasta roshan kiya hai hamaare liye
Yahaan ashirwaad milta hai chehre par kaanti aane ka
Yahaan nirantar mauka milta hai mann mein shanti aane ka.

Yahaan andhvishwaas ko aane kee hai manaahi
Yahaan Guruji ke suraksha kavach se surakshit hai har raahi
Yahaan Guruji swayan lekha dobara likhte Hain Apne kalam kee siyahi se
Yahaan koi vadiyaayee vaddi nahin hai Guruji kee vadiyaayee se.

Yeh raasta manzil takk lekar jaata hai
Yahaan har bhakt Guruji ko humsafar ke roop mein paata hai
Yahaan Guru aur bhakt ka rishta nikharta jaata hai
Yahaan raahi ruhaaniyat kee oonchaayee ko chhoo paata hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dikhaaya Hai Unhonei Raasta (06/10/2022)

Leave a comment