Tu Tayyr Paayega Is Kadar (06/16/2022)

June 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1579

Tu Tayyr Paayega Is Kadar

Andhere kee gehraayee mein doobne se na darr
Zindagi ko jee le, yoon jeete jeete toh na mar
Guruji ne tujhe dee hai sharan
Shukrana se bhar le tu apna mann.

Ye zameen ye sansaar aur ye gagan
Sabhi karein Guru ko naman
Andhera bhi Unke hukm se ho jaayega khatam
Tere jeevan ko roshan karne ujaala zaroor lega janam
Andhera na dhaa paayega tujh par koi sitam
Andhere mein Guruji ke sahaare tu badhaata chal kadam.

Tera muqaddar dikhaaye tujhe jaisa bhi nazaara
Guruji sanvaar sakte Hain nazaara saara
Beshart aur niswaarth hai Guruji ka sahaara
Unhe Apna har bhakt lagta hai pyaara.

Tu gair nahin Hain Unke liye
Tera kalyaan hai Unkee zimmedaari
Is vilamb ka bhi koi kaaran hoga
Jab tere liye sahi hoga, tabb aayegi teri bhi baari.

Tu ho ya na ho chaahe is baat se sehmat
Tujh par bhi baras rahi hai Unkee rehmat
Jo tujhe sambhaale huey hai har pal
Ambar se bhi vishal hai Unka veh aanchal
Jinkee nazar mein hain tere din rayyn
Mahasaagar se bhi gehre hain Unke ve nayyn.

Guruji shakti pradaata Hain
Guruji hee vidhaata Hain
Guruji tere haal ke gyaata Hain
Guruji jeevan daata Hain.

Isliye doobne se bilkul na darr
Doobte doobte bhi tu jaayega tarr
Aur phir tu tayyr paayega is kadar
Ki kalyaanmayi hoga tera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tu Tayyr Paayega Is Kadar (06/16/2022)

Leave a comment