Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna (06/18/2022)

June 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1581

 Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna

Mere pyaare Guruji,

Aankhon mein yoon samaaye Aapka roop
Ki sheetalta ko kumm na kar paaye kadak se kadak dhoop
Hriday mein yoon viraajmaan hon Aapke kamal charan
Ki har dukh ka is sukh ke sahaare ho jaaye haran.

Naasika mein Aapki ruhaani khushboo ka yoon ho samaavesh
Ki hamesha ke liye hota rahe uska saanson mein pravesh
Aise dhanya ho jaayein tvachaa ke roam chhidr Aapke ruhaani spandan se
Ki usee spandan se nimagn hokar mai tarti jaaoon Aapke chintan se.

Kaanon mein aise goonjti rahe Aapki awaaz
Ki veh bann jaaye maargdarshan ka raaz
Labhon par yoon rahe sada Aapki mahima ka gungaan
Ki jeevan bann jaaye Aapke gungaan kee dastaan.

Aise kar paaoon mai Aapka simran
Ki vyarth ke khayaalon se vichlit na ho mann
Sewa, paath, aur daan ho paaye vaisa
Aapko lagta hai achchaa jaisa.

Meri awaaz Aapke Shukrana aur stavan ke geet aur satsang aise sunaaye
Jaise jharne ka nirantar bahaav paani ka paraakram dikhaaye
Rasna par aise aata rahe Aapka naam
Ki Aapke naam mein khokar mai ho jaaoon khud ke liye bhi gumnaam.

Sir aankhon par ho Aapka hukm
Bhool kar har zulm aur zakhm
Pairon ke taley yoon dabb jaaye jo bhi ho ghamand
Ki veh sada ke liye mitti mein ho jaaye dafan.

Mera wajood, meri saansein, meri atma
Sabhi par Aapka noor, Aapki hukoomat chhaa jaaye, mere Paramatama
Astitva kee bhautikta ka yoon ho jaaye khaatma
Ki safal ho jaaye mera adhyaatmik safar aur sadhna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna (06/18/2022)

Leave a comment