June 21, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1584
Satyuga Ka Sooraj
Satyuga ka thaa sundar saaz
Lekin kewal Ishwar ko maalum thaa raaz
Ki tretayuga, dwaapar aayega uske baad
Aur phir hoga kalyuga aabaad.
Chandd aksharon ka fark hai
Aabaad aur barbaad mein
Lekin pehle se dooje takk pahunchne ka chhota hai safar
Jabki dooje se pehle par vaapis lautne mein
ho jaata hai yugon ka asar.
Kyunki oonchaayee se girne mein waqt nahin lagta janaab
Jab ki oonchaayee takk pahunchne mein umr beet jaati hai
Aisa hee hota hai adhyatmik safar mein bhi
Jo safal ho jaaye toh hee atma sukh paati hai.
Adhyatmik safar mein vifalta kalyuga mein hai prabal
Kyunki bhautikvaad aur vikaaron se kumm hua hai atmabal
Baahar se jo lagta hai aksar roab wala
Veh ruhaani taur par hota hai nirbal.
Ye satya hai ki bahut unnati laaya hai vigyaan
Lekin phir isee se badh gaya hai ‘mai’ aur abhimaan
Swayam ko karta maan kar
Samarpan aur neevanpann bhool baitha hai insaan.
Kalyuga kee beshak hai ye hawaa
Lekin dua se badi nahin ho sakti dawaa
Dua ka veh spandan hai is baat ka gavaah
Jiske prabhaav se kaam karti hai dawaa.
Isee hawaa mein jaise jaise badhta rahega
Niswaarth sewa, aur simran ka spandan
Jaise jaise is hawaa par asar karega
Guruji kee mahima ka gungaan aur Unka vandan
Vaise vaise hawaa mein sakaaraatmak oorja ke badhne se sudhartaa jaayega spandan.
Guruji Hain itne mahaan
Ve chaahein hum karein gupt sewa, paath, aur daan
Na aaye hum mein abhimaan
Aur neeven rehkar hum banein changey insaan.
Adhyaatmikta aur ahankar bann nahin sakte meet
Ahankar tyaagna zaroori hai agar nibhaani hai Guruji se preet
Vikaaron aur paapon se peedit hai saara sansaar
Ismein ahankar hai bahut bada gunehgaar.
Jeevan saadaa aur saral banaayein agar hamein hai tarna
Guruji sangg Hain, phir kaisa darna
Apna farz nibhaate huey gehra karein bhakti ka rangg
Shraddha aur saboori se chalein waqt ke sangg.
Waqt ka jharna toh behta jaayega
Satyuga zaroor laut kar aayega
Srishti ke is parivartan mein kyun na dein hum apna yogdaan
Adhyaatmik oonchaayee haasil karne kee koshish karein tyaagkar abhimaan.
Yeh karna mumkin nahin divyata ka saath chod kar
Guruji hamein manzil takk le jaayenge aur saath rahenge har moad par
Raasta banta chalega vikaaron kee har baadha ko toad kar
Satyuga ka sooraj phir se uday hoga adhyaatmik oonchaayee kee bhor par.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja