June 23, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1586
Kal Aaye Ya Na Aaye
Kya maalum kal aaye ya na aaye
Hamaari is zindagi mein
Isliye kyun na har saans se simar lein
Guru Govind ka naam hum bandagi mein.
Koshish karein ki kumm se kumm pal hon aise
Jabb sir jhukaana pade sharmindagi mein
Guruji ne banaaya hai hamaare liye ye aasaan
Kyunki Ve dariyadil Hain bakhshindagi mein.
Kya maalum kal aaye ya na aaye
Miley ya na miley priya janon se kehne ka avsar
Ki ve hamein pyaare hain
Isliye keh dein mauka miley jis pal.
Sudhaar lein apne vichaar aur apna vyavhaar
Beete kal kee maayusi se na mehsoos karein laachaar
Aane wale kal ke liye na himmat dein haar
Lekin yaad rakhna na bhoolein baar baar
Ki is janam maran ke khel mein
Koi insaan na bach paaye
Karmon kee is heir-pher mein
Kal aaye ya na aaye.
Veh daan jo mann mein hai ki karenge agley saal
Usey gupt rakh kar kar dein bin kisee sawaal
Veh khaami apni, jis se waakif hain hum
Uspar kaam karna aaj, balki abhi kar dein aarambh
Jaane anjaane mein kee hain jo gustaakhiyan
Maang lein Guruji se is pal hee kshamaa
Baad mein na ye dil pachhtaaye
Kya maalum kal aaye ya na aaye.
Kya maalum hamaare jeevan mein
Kal aaye ya na aaye
Agar ye soch kar mann ghabraaye
Toh mann ko har koi samjhaaye
Ki ye pal bhi hain paraaye.
Miley Hain ye pal udhaar par Nirankaar se
Taaki inhe jeene mein hum khud ko sanvaar lein
Guruji kee mehar se inka sadupyog karein satkaar se
Unhonei diye Hain hamein ye pal bade pyaar se.
Aaj se shubh koi din nahin
Abhi se shubh koi pal nahin
Kyunki aaj aur abhi hai vash mein hamaare
Bahut fark padta hai ki hum inhe kaise guzaarein
Kya maalum is safar mein
Kal aaye ya na aaye
Is kshan mein jee lein sahi tareh se
Taaki abb bhi baat bann jaaye.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja