June 25, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1588
Jaagriti Ka Deedar
Jis jaagriti ka tujhe hai intazaar
Veh pehle se hee hai tere bheetar maujood
Darasal tujhe intazaar hai uske ehsaas ke honei ka
Taaki tu mehsoos kar paaye uska vajood.
Isliye baahar mein khud ko na kho
Jaagrit hai tu, gehen nidra mein kyun raha hai so?
Jaagriti ka deedar kar
Jaakar swayam ke bheetar
Guruji kee kripa hai tujhpar
Na chod koshish ka koi bhi avsar.
Guruji toh Hain itne udaar
Kehte Hain ki chodna nahin hai ghar-baar
Bhog bhog kar khush rehna hai
Aur dil se Unhe Shukrana kehna hai.
Unke kahe anusaar sunn sunn kar Gurbani
Sanvarti gayi hai kitnon kee zindagaani
Duniya bhautikvaad kee hui hai deewani
Virlon ne asal dhan kee ahamiyat hai jaani.
Agar tu paana chaahta hai asal dhan
Toh ekaagrachitt kar le apna mann
Dincharya ke saath saath karta chal simran
Bhool matt ki kewal mehmaan hain tann aur bhautik dhan.
Yaad rakh har pal ki karmon ka katna hai zaroori
Isee se kumm hogi teri atma kee Paramatama se duuri
Tera yeh janam toh kewal ek pehlu hai teri atma ke safar ka
Aur is safar ka anjaam mohtaaj hai har pehlu ke asar ka.
Doojon ke karam par tera zor nahin
Tu buss apni oar se apne karam rakh sahi
Jo koi nahin dekh sakta veh Guruji toh dekhte Hain yakeenan
Apne har bhakt par Unkee nigaah rehti hai har kshan.
Beete huey janam aur pehlu nahin tere vash mein
Isliye is janam ko bita de tu poori koshish mein
Ki Guruji ka hukm maan kar tu jaaye tarr
Aur sankishpt ho sakey atma se Paramatama ka tera safar.
Apni har soch, apni har kriya mein reh sachet
Kathin hai, par koshish kar sabhi mein divyata ko dekh
Simran, dhyan, sadhna ko banaa jeevan ka niyam
Anaasakt pyaar ka prayaas kar, nibha tu daya, gupt daan aur sewa ka dharam.
Tu mehsoos kar paayega khud ko jaagrit
Kisee bhaar ke taley na dabega tera chitt
Teri har saans mein hoga shukrana aur samarpan
Tera sukh dukh hoga Guru charnon mein arpan.
Jaagriti se tera yeh deedar
Aasaan karega tera pahunchna uss paar
Jahaan takk pahunchna zaroori hai
Agar mitaani atma kee Paramatama se duuri hai.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja