Shukrana Ka Saaz (06/20/2022)

June 20, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1583

               Shukrana Ka Saaz

Sooraj ko aksar chhipa dete hain baadal
Kalyuga ke kolaahal mein aksar kho jaata hai raajal
Ashruon mein aksar beh jaata hai naynon ka kaajal
Aksar chhota lagne lagta hai akash ka aanchal.

Lekin iska arth ye nahin ki sooraj ya raajal hain hee nahin
Aur kaajal bilkul hai unn mein, jo ashrudhaaraayein hain bahi
Akash ka aanchal toh hai anant
Buss, ashruon ka nahin ho raha hota hai antt.

Bodh aur anubhav kaisa hai
Karta hai ye sab uspar nirbhar
Paristhiti mein pratikriya jaisi hoti hai
Vaisa hee dekhti hai nazar.

Bahurangi yeh jagg hai
Sabhi ka nazariya alag hai
Kisee mein zyada hai sehensheelta, kisee mein kumm
Kisee ko kumm mein bhi santosh hai, aur kisee ko zyada bhi prateet hota hai kumm.

Guruji Shukrana ka paath padhaate Hain
Shukrana mein hee hai santosh ka raaz
Jitnee kumm shikayat karenge
Utna madhur hoga Shukrana ka saaz.

Santosh mein sukh aur tripti ka sangam hai
Santosh mein Shukrana ke geet kee sargam hai
Apni oar se karein sachchi mehnat
Aur aadar se sweekaarein Guruji kee rehmat.

Har niraasha mein bhi paayenge
Hum ummeed kee kiran
Baadal ke peechhe chhipe sooraj ka Anubhav kar paayega mann.

Ashruon mein bahe kaajal ka aur kalyuga ke kolaahal mein khoye raajal ka
Hoga hamein anubhav aur ehsaas
Guruji kee mehar se is ehsaas aur santosh ko protsaahit karega
Hamaare mukh aur mann se nikla Shukrana ka saaz.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shukrana Ka Saaz (06/20/2022)

Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)

June 19, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1582

Pita Ka Paawan Pyaar

Mai na jaanoon kab Guruji ne Apne charnon se lagaaya
Lekin ye jaanoon ki tabb se yakeenan mera naseeb jagmagaaya
Shukrana Unka ki mere jeevan mein veh suhela vela aaya
Kitne kashton se toh mere bin jaane hee yakeenan hai Unhonei mujhe bachaaya.

Beemari mein dheeraj bandhaaya
Kitne roagon ko duur bhagaaya
Udaasi mein hansna sikhaaya
Mere har ghaav par mamta ka marham lagaaya

Duniya ka aslee roop dikhaaya
Girne lagi toh himmat dee aur uthaaya
Mann kee har uljhan ko suljhaaya
Mere karmon ka adhiktar bhaar uthaaya.

Andhere mein nidarr hona sikhaaya
Roshni ka raaz bataaya
Duvidha hui, toh duur karna samjhaaya
Har haalaat mein saath nibhaaya.

Aansuon ke baavjood muskuraana sikhaaya
Museebaton mein aagey badhne ka utsaah dilaaya
Dete hee rahe par kabhi na jataaya
Meri har zaroorat aur chaahat par gaur farmaaya.

Thakk gayi jabb jabb duniya kee dhoop se
Apni goad kee thandi chhaaon mein bithaaya
Jabb jabb neend na aa rahi thi mujhe
Simran karvaakar mujhe sehlaaya.

Insaaniyat ka paath padhaaya
Ruhaaniyat ka raasta dikhaaya
Satsang mein bulaaya
Prasad khilaaya, amrit pilaaya.

Asal dhan se parichit karvaaya
Thode samay mein adhik karmon ka bhugtaan karaaya
Kitnee saari sangat se milvaaya
Ghar parivaar ka mahatva bataaya.

Aish se jeevan jeena sikhaaya
Befikr, beparwah honei ka nuskha bataaya
Samarpan karna yaad dilaaya
Mujh par daya kar mujhe sewa mein lagaaya.

Mai toh is sabke kaabil bhi nahin thi
Phir bhi Guruji ne diya hai aisa anokha dulaar
Ki Unhee mein paaya mainey Ishwar ko
Aur Unhee mein paaya mainey pita ka paawan pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pita Ka Paawan Pyaar (06/19/2022)

Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna (06/18/2022)

June 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1581

 Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna

Mere pyaare Guruji,

Aankhon mein yoon samaaye Aapka roop
Ki sheetalta ko kumm na kar paaye kadak se kadak dhoop
Hriday mein yoon viraajmaan hon Aapke kamal charan
Ki har dukh ka is sukh ke sahaare ho jaaye haran.

Naasika mein Aapki ruhaani khushboo ka yoon ho samaavesh
Ki hamesha ke liye hota rahe uska saanson mein pravesh
Aise dhanya ho jaayein tvachaa ke roam chhidr Aapke ruhaani spandan se
Ki usee spandan se nimagn hokar mai tarti jaaoon Aapke chintan se.

Kaanon mein aise goonjti rahe Aapki awaaz
Ki veh bann jaaye maargdarshan ka raaz
Labhon par yoon rahe sada Aapki mahima ka gungaan
Ki jeevan bann jaaye Aapke gungaan kee dastaan.

Aise kar paaoon mai Aapka simran
Ki vyarth ke khayaalon se vichlit na ho mann
Sewa, paath, aur daan ho paaye vaisa
Aapko lagta hai achchaa jaisa.

Meri awaaz Aapke Shukrana aur stavan ke geet aur satsang aise sunaaye
Jaise jharne ka nirantar bahaav paani ka paraakram dikhaaye
Rasna par aise aata rahe Aapka naam
Ki Aapke naam mein khokar mai ho jaaoon khud ke liye bhi gumnaam.

Sir aankhon par ho Aapka hukm
Bhool kar har zulm aur zakhm
Pairon ke taley yoon dabb jaaye jo bhi ho ghamand
Ki veh sada ke liye mitti mein ho jaaye dafan.

Mera wajood, meri saansein, meri atma
Sabhi par Aapka noor, Aapki hukoomat chhaa jaaye, mere Paramatama
Astitva kee bhautikta ka yoon ho jaaye khaatma
Ki safal ho jaaye mera adhyaatmik safar aur sadhna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mera Adhyaatamik Safar Aur Sadhna (06/18/2022)

Samasya Ka Pehar (06/17/2022)

June 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1580

  Samasya Ka Pehar

Beeta jaa raha hai samasya ka pehar
Aane hee wali hai samaadhaan kee sundar sehar
Har pehar mein samaayi hai waqt kee lehar
Jisey aabaad karti hai Guruji kee mehar.

Guruji kee tu baat kar
Guruji se tu baat kar
Sakaratmakta atmasaat kar
Insaaf tu apne saath kar.

Jis tareh se tujhe pata nahin chalta
Ki kab baadal jal se jaate hain bhar
Aise hee tujhe shaayad maalum nahin hai chal raha
Ki tu Guruji kee kripa se har pal hai tarr raha.

Ye samasyaayein toh tu jaanta hai
Lekin kitnee aur hain jinse tu hai anjaan
Guruji tujhe pataa bhi nahin lagne dete
Aur karte rehte Hain tera kalyaan.

Bahuton se achchaa hai tera haal, na tu chod muskuraana
Rakhta chal shraddha aur karta chal shukrana
Bharta chal pichhle karmon ka jurmaana
Paata chal kalyaan ka khazaana.

Chinta hai chita samaan
Tu yeh jaan aur maan
Guruji Hain mahaan
Unke paas hai har samasya ka samaadhaan.

Isliye chinta chod kar tu Unka chintan kar
Sachche dil se tu Unka stavan kar
Apne har bhakt kee har samasya par Guruji de rahe Hain dhyan
Tu kis kis haalaat se guzar raha hai, Unhe hai iska poora gyan.

Teri har samasya ka hoga hal
Isliye na reh tu udaas
Teri shraddha zaroor hogi safal
Tu Guruji par kar vishwaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Samasya Ka Pehar (06/17/2022)

Tu Tayyr Paayega Is Kadar (06/16/2022)

June 16, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1579

Tu Tayyr Paayega Is Kadar

Andhere kee gehraayee mein doobne se na darr
Zindagi ko jee le, yoon jeete jeete toh na mar
Guruji ne tujhe dee hai sharan
Shukrana se bhar le tu apna mann.

Ye zameen ye sansaar aur ye gagan
Sabhi karein Guru ko naman
Andhera bhi Unke hukm se ho jaayega khatam
Tere jeevan ko roshan karne ujaala zaroor lega janam
Andhera na dhaa paayega tujh par koi sitam
Andhere mein Guruji ke sahaare tu badhaata chal kadam.

Tera muqaddar dikhaaye tujhe jaisa bhi nazaara
Guruji sanvaar sakte Hain nazaara saara
Beshart aur niswaarth hai Guruji ka sahaara
Unhe Apna har bhakt lagta hai pyaara.

Tu gair nahin Hain Unke liye
Tera kalyaan hai Unkee zimmedaari
Is vilamb ka bhi koi kaaran hoga
Jab tere liye sahi hoga, tabb aayegi teri bhi baari.

Tu ho ya na ho chaahe is baat se sehmat
Tujh par bhi baras rahi hai Unkee rehmat
Jo tujhe sambhaale huey hai har pal
Ambar se bhi vishal hai Unka veh aanchal
Jinkee nazar mein hain tere din rayyn
Mahasaagar se bhi gehre hain Unke ve nayyn.

Guruji shakti pradaata Hain
Guruji hee vidhaata Hain
Guruji tere haal ke gyaata Hain
Guruji jeevan daata Hain.

Isliye doobne se bilkul na darr
Doobte doobte bhi tu jaayega tarr
Aur phir tu tayyr paayega is kadar
Ki kalyaanmayi hoga tera safar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Tayyr Paayega Is Kadar (06/16/2022)

Jeevan Kee Paribhaasha (06/15/2022)

June 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1578

Jeevan Kee Paribhaasha

Basaaye huey mann mein asha
Raahi dhoondhne chala jeevan kee paribhaasha
Chalte chalte raah mein mila ek bhikhaari
Jisey thi na jaane kaunsi beemaari
Chehra thaa murjhaaya sa
Jwar se peedit lagg raha thaa
Bura waqt jaise uska aaya thaa
Na jaane aur kya kya usne saha thaa.

Raahi se yoon raha na gaya
Bhikhaari se kuch kaha na gaya
Raahi ne kurte kee jeb se kuch paise nikaale
Aur dua karte huey jhuk kar bhikhaari ko de daale.

Uska dil chaaha
Ki kaash veh aur kuch kar sakta bhikhaari ke liye
Bahut nek bhaav se jalaaye vaataavaran mein
Raahi ne bhikhaari ke liye duaon ke diye.

Chala simran karte karte veh thoda aagey raah par
Ek aur bhikhaari usey aaya nazar
Paise nahin thei abb uske paas
Isliye thoda sa veh hua udaas
Phir haath jod kar pyaar se usne dee duayein
Kaha usne, β€œ Baba, dua karta hoon, tumhaare kasht duur ho jaayein.”

Raahi chalte chalte dooba raha jeevan kee paribhaasha ke vichaar mein
Sabhi ke liye shuddh soch liye vinamrata rakhte huey vyavhaar mein
Uskee atma ko khabar thee uske har vichaar aur ravaiye kee
Yoon hee chalti gayi nemi samay ke pahiye kee.

Karta chala Shukrana aur simran
Pashu pakshiyon ke liye paani se bharta raha chhote chhote bartan
Veh jaantaa thaa ki beshak usey koi aur dekhe na dekhe
Oopar wala sab dekhe aur jaane
Aur koi uskee neeyat se waaqif ho ya nahin
Ishwar uskee neeyat ko pehchaane.

Guruji kehte Hain, β€œBanda bann,”
Achanak bol pada raahi ka mann
Jeevan kee paribhaasha ka jo uske mann mein thaa sawaal
Usey lagaa ki uskee soch aur uske karma mein hee hai jawaab.

Kisee kee madad kar paao toh zaroor karo
Sabhi se anaasakt pyaar karo aur andhvishwaas se na daro
Madad na kar paao toh bhi raho neeven aur vineet
Ahankar aur tark ko tyaagkar haar mein bhi hai jeet.

Bin jataaye, bin dikhaaye karo sewa, paath, aur daan
Unhe gupt rakhne se khush hotey Hain Bhagwaan
Insaan ho, anusaran karo insaaniyat ka
Atma basee hai shareer mein, har saans ko poshan do ruhaaniyat ka.

Mitti se aayein hain hum sab, mitti mein hai mil jaana
Jab antim samay aayega, na chalega koi bahaana
Jaisa Guruji ne hai kaha, usee tareh se jeena hee hai jeevan kee paribhaasha
Isliye samarpit kar dein Guru charnon mein hee har asha aur niraasha

Yahee sochte sochte raahi pahunch gaya apne shivir par
Uske chehre ka noor bhaari padd raha thaa timir par
Guruji ka ashirwaad thaa uske sangg
Guruji kee dee deeksha se khila thaa uska rangg
Kuch kuch samajh aane lagi usey paribhaasha jeevan kee
Guruji kee mehar se badhauti hui uske adhyaatmik gyan ke dhan kee
Usne paribhaasha ko saarthakta se jeene kee koshish kee, jabb takk chalta raha uska shwaas
Antim samay mein shareer mitti hua, lekin atma ka raha Guru charnon mein nivaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jeevan Kee Paribhaasha (06/15/2022)

Japta Chal Tu Unka Naam (06/14/2022)

June 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1577

         Japta Chal Tu Unka Naam

Zindagi ko tu paheli maan
Ya phir ek ajab sa imtehaan
Guruji ka kehna maan
Aur japta chal tu Unka naam.

Paheli lagey ya imtehaan
Aankhon mein aansoon hon ya phir ho chehre par muskaan
Na chodna japna Guruji ka tu naam
Kyunki isee mein hai tera kalyaan.

Guruji ke naam ko jo rasna hai gaati
Ye naam banta hai uss jann ka saathi
Rasna se antarmann mein basaa le tu Guruji ke naam ko
Unke naam ke amrit se bheegne de tu apne har kaam ko.

Guruji ke naam ko kar le atmasaat
Bann jaayegi teri har bigdi baat
Aaj banegi ya kal
Ye toh Guruji hee jaanein
Tere hitt mein toh ye hai
Ki tu Unka kaha maane.

Guruji ka naam hai tere raaste ka vo anokha chirag
Jiskee roshni anginat diyon se bhi zyada hai
Sainkdon tufaan bhi is chirag ko na bujha paayenge
Is chirag kee lau se raahon mein aur kayi diye jal jaayenge.

Andhere mein bhi andhera na dass paayega tujhe
Guruji ke naam ka chirag roshan karega teri raahon ko
Tu ek pal ke liye bhi asahaay nahin hai
Kyunki Guruji ne swayam thaama hua teri baahon ko.

Zindagi kee paheli ko maan le kuch palon kee saheli
Zindagi ke imtehaan ko maan le kuch lamhon ka mehmaan
Guruji ne baahein Hain thaami, tu le yeh hakeekat jaan
Aur jo kuch bhi ho jaaye, japta chal tu Guruji ka naam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Japta Chal Tu Unka Naam (06/14/2022)

Simran Karne Ka Avsar (06/13/2022)

June 13, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1576

Simran Karne Ka Avsar

Guruji kee mehar se mila hai simran karne ka avsar
Na jaane de in ghadiyon ko bekaar
Yeh atma-bal badhaane ke liye anivaarya hai
Taaki mann kee sthiti par na ho koi vaar.

Simran karte karte atma-bal badhta jaayega
Paristhitiyan tujhe na kar paayengi kamzor
Mann vichlit na hoga, mann rahega sthir
Tu uthne ka saahas kar paayega agar gaya tu gir.

Kyunki jabb takk zindagi hai
Aate rahenge utaar chadhaav
Simran ke prabhaav se
Mann ko na hoga shanti ka abhaav.

Simran mein mann lagey ya nahin
Simran karna hee hai sahi
Ekaagrachitt hokar kiya jaaye toh aur bhi achcha
Buss, simran karne ka prayaas ho sachcha.

Guruji kee daya se prayaas zaroor hoga safal
Simran dwaara pavitrikaran hoga toh behtar hogi karmon kee fasal
Jis bhi tareh se dekha jaaye, bhakt ka kalyaan hee hai
Guru ka hukm samjhein ya Ishwar ka, Guru mein basaa toh Bhagwaan hee hai.

Guruji kee dee hui daat hai simran
Simran hai shanti ka upaay
Simran kee daat ka tu kar sammaan
Simran hai raasta, manzil hai kalyaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Simran Karne Ka Avsar (06/13/2022)

Guruji Kee Mehar (06/12/2022)

June 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1575

                   Guruji Kee Mehar

Guruji kee mehar
Laati hai har roz kee sehar
Guruji kee hee hai daat
Har roz aane wali raat.

Guruji ka prasad
Deta hai ashirwaad
Guruji ke naam ka amrit
Sada karta hai bhakton ka hitt.

Guruji kee nazar
Karti hai ruh par asar
Guruji kee nadar
Mita deti hai bhakt ka darr.

Guruji ka pyaar
Vikaaron par karta hai vaar
Guruji ka dulaar
Giraata hai sanshay kee deewar.

Guruji kee marzi
Maun kar deti hai bhakt kee arzi
Guruji ka vachan
Utsaahit karta hai mann.

Guruji ka simran
Hai bhakton ke liye dhan
Guruji kee sewa ka mauka
Deta hai sukh anokha.

Guruji ka satsang
Nikhaarta hai bhakti ka rangg
Guruji ko kiya dhanyawaad
Karta hai dil ko santosh se aabaad.

Guruji mein lagan
Kar deti hai Unkee bhakti mein magan
Guruji kee sharan
Sada sada hoti hai mangalkaran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Mehar (06/12/2022)

Guruji Ka Pyaara Pehra (06/11/2022)

June 11, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1574

            Guruji Ka Pyaara Pehra

Baansuri kee dhvani suni
Phir chidiyon kee chehek
Achaanak ek titlee udd kar aayi
Usee pal aayi ruhaani mehek.

Gulab kee aur chandan kee
Maano hua ho mehek mein inka mishran
Jo hawaa ka jhonka ye mehek laaya
Usey usee pal kiya mainey naman.

Dhanya hai veh hawaa ka jhonka
Jo mere Guruji ka paigaam laaya
Mehek se zaahir hui maujoodagi Guruji kee
Mere mann mein khushi ka dhwaj lehraaya.

Mann kee aankhon ne dekha
Guruji ko furteeli chaal se aate huey
Noor anant thaa Unke chehre par
Neeveen nazron se mandd mandd muskuraate huey.

Tej Unke abhamandal ka
Laaya sanket mangal ka
Unke noor ko rahi thi nikhaar
Mere sangg Unhe saraahne lagi bahaar.

Shaayad farishte bhi vahaan hotey
Toh ve jaate sharmaa
Guruji ke saumya divya roop se
Yoon khil gaya samaa
Jharne ullasit hokar behne lagey
Phool khil kar Guruji ko shukrana kehne lagey.

Bargad ke thei vahaan do taruvar
Unhe mil gaya sunehra avsar
Unhonei apne beech mein ek sundar se jhoola lagaaya
Guruji ne dono kee shaakhaaon ka bhagya jagaaya.

Guruji ke pyaar mein baanvri si hokar
Mainey jhoole par phoolon ka aasan bichhaaya
Kaante na chubh jaayein Guruji ko
Isliye saavdhaani se kaanton ko hataaya.

Jabb mann hee mann mein is nacheez ne
Guruji ko namaste aur Unka abhinandan kiya
Toh pyaare Guruji ne bin dekhe bin kuch boley
Jhoole par aasan grehen kiya.

Unke sundar pitambari chole ke aanchal ne
Ek pal ke liye kiya mere haath ka sparsh
Mai bayaan nahin kar sakti ki mujhe kaise lagaa
Mujhe mil gaya anginat varshon ka harsh.

Guruji jhoole par huey virajmaan
Kya aalam thaa, kitnee sundar thi Unkee shan
Unhe dekhte huey bhi na dekh paa rahi thi mai
Kyunki Unke mastishk se maano nikal rahe thei divya shakti ke baan.

Thoda ghabraakar, ki kaheen galati na ho jaaye
Mai laayi Unke liye jal aur chai
Unhonei chakh kar veh prasad mujhe dekar ishaara kiya
Aur Unke hukm ko sir aankhon par rakhkar mainey vo prasad pee liya.

Aisee sheetalta ka anubhav hua mujhe
Ki lafzon mein bataana hai namumkin
Prasad ne mere antakaran ko yoon anugrihit kiya
Ki mainey jeevan mein pehli baar itna gehra shwaas liya.

Meri neend khul gayi lete hee shwaas gehra
Mehsoos hua ki vahaan bhi aur yahaan bhi hai Guruji ka pyaara pehra
Shukrana Guruji Aapka, ki Aapne diye itne komal swapn darshan
Aapke ashirwaad se so-un ya jaagoon, buss rahoon mai Aap mein magn.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Pyaara Pehra (06/11/2022)