Aane Wale Janmon Kee Taqdeer (07/01/2022)

July 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1594

Aane Wale Janmon Kee Taqdeer

Sheher ke shor se oob kar
Apne gumm mein doob kar
Na jaane kabb chalte chalte bhakt sheher se baahar gaya nikal
Fikr thi usey ki kaisa hoga uska aana wala kal.

Sheher ke aagey chalkar raasta thaa veeraan
Rasna se bhi zyada pyaasa thaa uska mann
Paani na mita paa raha thaa uss pyaas ko
Veh samajh na paa raha thaa is ehsaas ko.

Baith gaya raaste mein ek jheel ke paas
Mann uska thaa bahut udaas
Aise moad par aa gaya thaa naseeb
Ki koi khushi na dikh rahi thi kareeb.

Ummeed kee koi bhi kiran na aa rahi thi nazar
Aisa kiya thaa museebaton ne uskee nazar par asar
Na chehre par thi khushi, na labhon par thi muskaan
Thaa veh sehma sehma sa, aur bahut hee pareshaan.

Ghutnon ka baahon se kar ke aalingan
Dekha apne pratibimb ko jheel ke paani mein
Tabb usey ye gyat nahin thaa
Ki veh pal laayega parivartan uskee zindagaani mein.

Usey apne chehre ke pratibimb ke aaspaas
Dikhaayee diya aasmaan
Uska parigreh kiye mandal ke roop mein
Baadalon ke beech se jhaankti dhoop mein.

Paaon uske chhoo rahe thei dharaa
Saamne jheel mein paani thaa bharaa
Hawaa ka ek jhonka laaya gandh
Jaise kuch jal raha ho
Jaise kaheen se agni ka dhuan
Hawaa ke sangg uskee oar baha ho.

Pehle toh usey kuch nazar na aaya
Phir dayyveeya hastakshep ne usey dikhaaya
Thodi duri par kisee mritak ka ho raha thaa daah sanskaar
Uske aaspaas thei kuch jann, shaayad hoga uska parivaar.

Paaon ko jaise lagaa ho vidyut ka jhatka
Yoon sehsa veh bhakt uth khada hua
Usne bhi dua kee uss mrit kee atma kee shanti ke liye
Jaan pehchaan na thi, phir bhi dukh toh bada hua.

Guruji se poochha usne mann hee mann mein
Ki aakhir paana kya hai jeevan mein
Sab toh yaheen reh jaana hai
Aur agley janam mein kaam nahin aana hai.

Guruji ne uskee chetna bannkar samjhaaya
Usey jaagrit kiya aur yaad dilaaya
Maanav jeevan mein karmon ka hisaab hota hai
Guru kee madad se har bhakt apne paap dhota hai
Banda bann jaaye asal mainey mein toh poorna uddhaar hota hai
Bachey huey karmon ka bhugtaan karaane ke liye janam baar baar hota hai.

Usne phir poochha ki kya sab yaheen reh jaata hai
Guruji ne kaha, nahin, Guru Govind ka naam roopi dhan saath jaata hai
Yahee atma ka beda paar karaata hai
Usey janam maran ke chakkar se antt mein mukt karaata hai.

Guruji ne bheetar se uss bhakt se kaha
β€˜Om Namaha Shivaya’ japne se sahaayata miltee hai tarne mein
Shraddha aur vishwaas se japaa jaaye jabb Guru Govind ka naam
Toh madad miltee hai maansik dvandva duur karne mein.

Guruji ne yaad dilaaya usey
Ki yaad karey veh har subah
Ki agar janam maran ke chakkar se jaana hai chhoot
Toh kabhi na bhooley veh ye panch mahabhoot
Kyunki dharti, agni, vayu, akash, aur jal
Aaj inse rachna hoti hai deh kee aur isee mein veh samaa jaati hai kal.

Yaad rahegi agar yeh hakeekat shareer ke antt kee
Toh β€˜mai’ tyaag kar neeven honei mein hogi aasaani
Badhegi achchi neeyat, koshish aur lagan simran kee
Sudharne lagegi har janam kee zindagaani.

Atmabal badhega, khula rahega sehensheelta ka dwaar
Isliye doojon ke ravaiye par swayam ka dukh sukh na karega nirbhar
Museebatein aur doojon ka vyavhaar
Mumkin hoga uthna in sabse oopar.

Jitna aata jaayega antakaran mein Guru ke prati samarpan
Utna hee kumm pareshaan rehne lagega mann
Aane wale kal kee na hogi fikr
Apna dharma nibhaate huey umr jaayegi guzar.

Asthaayitva bhautikvaad jeevan ka rahega yaad sada
Aa jaayegi yahaan rehte huey swayam ko dhyan mein rakhne kee adaa
Bhakt ko Guruji ke kahe in shabdon ko sunkar apne antakaran mein
Vishwaas ho gaya ki jeene mein vo satya hai hee nahin jo satya hai marne mein.

Ehsaas hua usey ki yahaan jo bhi hai veh nashwar hai
Kewal divyata, simran aur sadhna
mein basaa Ishwar hai
Panch mahabhoot se utpann hokar unhee mein jaana hai samaa
Ruhaaniyat mein ramm kar sudhaarna hoga ye samaa.

Ek baar phir se usne dekha jheel ka paani
Uske antakaran mein badh gayi roshni ruhaani
Mann mein simran kee mala pehen kar
β€˜Om Namaha Shivaya’ kehne lagaa har kadam par.

Hum sab bhi inhee panch mahabhooton se huey hain utpann
Inhee mein mil jaayenge jabb chodenge ye shareer
Kyun na simran karte karte apni soch aur apne karma sudhaarein
Chamak jaayegi phir isee janam mein aane wale janmon kee taqdeer.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aane Wale Janmon Kee Taqdeer (07/01/2022)

Leave a comment