Nanhe Se Baalak Ne Liya Janam (07/06/2022)

July 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1599

Nanhe Se Baalak Ne Liya Janam

Nanhe se baalak ne liya janam
Saat July ke din
Sanvaarne aaye bhakton ka janam maran
Sikhaane aaye hamein insaaniyat ka dharam.

Dugri ke paawan gaaon mein
Jabb Unka jeevan hua shuru
Tabb shaayad kisee ko gyat na thei
Ki Ve Hain pooran Guru.

Mata ji aur Bapu ji Hain kitne dhanya
Jinhe divyata ne saumpa uttardaayitva
Pyaare Guruji ko janam dekar laane ka is sansaar mein
Aur MahaShiv ko basaane ka apne neeven se parivaar mein.

Bachpan se hee Guruji pyaare
Dikhaate thei adbhut nazaare
Jeete thei saadhaaran jeevan
Aur jeet lete thei har kisee ka mann.

Paathshaala hoti ya khet ya ghar
Anekon jageh mein ek hee kshan mein aate thei nazar
Unkee leela kisee ko na aati thi samajh
Jitnee koshish karte thei loag, utna hee ve jaate thei ulajh.

Jaise jaise beeta Guruji ka bachpan
Suspasht hotei gaye Unke divya lakshan
Gupt na reh paayi Unkee leela ruhaani
Sangat hoti chali Unkee deewaani.

Dugri ke alaawa Guruji gaye Chandigarh aur Jalandhar
Delhi mein aaye aur banaaya Unhonei Bade Mandir
Karne lagey anginat bhakton ka kalyaan
Aur badhta chala Unkee mahima ka gungaan.

Gupt paath, gupt sewa, gupt daan
Bhakton ko sikhaate rahe Guru karunanidhaan
Dekar kitnee sangat ko jeevan daan
Guruji ne bachaayee Unkee jaan.

โ€˜Aish karโ€™ kehkar Guruji ne bhakton se
Bhakton ka jeevan sukhmayi banaaya
โ€˜Kalyaan kittaโ€™ ka aashwaasan dekar
Kitnon par ashirwaad barsaaya.

Beemari theek karna ya dena dhan
Ye sab Guruji ke liye thi maamuli baat
Lekin adhyaatmik dhan aur insaaniyat bakhshna
Isey kehte thei Ve asal saugat.

Kalyuga ke bahaav mein kuch girne sa lagaa dharam aacharan
Tufaani vaig se badhne lagaa bhautikvaad ka spandan
Badhne lagin padaarthvaadi khwaahishein
Kuch khokhli si honei lagin numaishein.

โ€˜Maango nahin, maano,โ€™ Guruji ne sikhaaya
Baar baar sangat ko yaad dilaaya
Kayee bhakton ne raasta apnaaya vahee
Lekin kayiyon ne na maani Guruji kee kahee.

โ€˜Asal cheezโ€™ dene wale Shiv avatari
Poori kar sakte thei sangat kee maang saari
Lekin jo jo bhi bin maange niswaarth bhaav se aata
Veh beshak der se, lekin jholi kalyaan se bhar ke le jaata.

Aaj bhi Guruji kee guruyaayee
Pramaanit karti hai Unkee divyata kee vadiyaayee
Sansaar mein Guruji ke hain anginat bhakt jann
Aur badhte hee jaa rahe hain har kshan.

Aise Guruji kee milee hai hamein sharan
Kitna bhaagyashaali hai hum mein se har jann
Aaj bhi kar rahe Hain aur aagey bhi karte rahenge Guruji kashton ka haran
Yakeenan Guruji ke ashish se safal hoga sangat ka janam maran.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Nanhe Se Baalak Ne Liya Janam (07/06/2022)

Leave a comment