Ummeed Na Chhoote (07/08/2022)

July 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1601

              Ummeed Na Chhoote

Ummeed na chhoote
Vishwaas na toote
Swayam ko yaad dilaata chal
Jaise jaise beete har pal.

Guruji ko samarpan karta chal
Aa raha hai tera sunehra kal
Bhar kar Apne paawan ashirwaad ka ruhaani rang
Guruji ke usey paripoorna karne ka hai anokha dhangg.

Itna sunehra hai yeh rangg
Ki tere aane wale kal mein laayega anand aur umang
Agar tu maanta hai ki tu hai Satguru kee patang
Toh udta chal Unke hukm mein hokar malang.

Guruji ke kar kamal mein hai teri doar
Tujhe zaroorat hee nahin jaane kee kaheen aur
Juda hai tu Apne paalanhaar se
Tu surakshit hai har prakaar se.

Rakh itminaan
Na ho pareshaan
Bharta chal udaan
Teri seema hai yeh aseem aasmaan
Yaani ki, asambhav bhi hai saadhya
Guru kripa se unnati hai praapya.

Simran ka saaz aur dhyan kee dhaara
Inke bal par udd ruhaaniyat ke gagan mein
Udaan mein girne bhi lagaa kabhi
Toh hoga Guruji ke kamal charan mein.

Ho jaa nirbhay
Tyaag de sanshay
Guruji ka ashirwaad hai akshay
Tu karta chal Guruji kee Jai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ummeed Na Chhoote (07/08/2022)

Leave a comment