July 15, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1608
Rabb Mein Hee Sabb Hai
Rabb mein hee sabb hai
Aisa kal thaa aur aisa aaj aur abb hai
Jiske liye Guruji mein Rabb hai
Uske liye Guruji mein sab hai.
Rabb hee Hain Paramatama
Aur har atma hai Paramatama ka ansh
Isliye har atma divya hai
Chaahe usey dhaaran kiye shareer ka ho jo bhi vansh.
Kitna spasht hai is satya se ye samajhna
Ki vyarth hai ameeri gareebi kee maya mein ulajhna
Bhautikvaad aur duniyavi starr juda hai is nashvar shareer se
Lekin charitra ka starr juda hai adhyaatmik taqdeer se.
Atma hai har jann kee mitra
Zaroori hai nikhaarna chitt ka chitr
Jaise jaise chitt hota jaayega pavitra
Jaise jaise swarnamayi hota jaayega charitra
Vaise vaise toadte huey agyanta kee zanjeer
Sanvarti jaayegi adhyaatmik taqdeer.
Ye mumkin nahin hai kewal ek hee pal mein
Ye nahin honei wala kewal aaj aur kal mein
Iske liye mann ko shant aur sthir rehna hona hoga halchal mein
Taaki veh kaam aa sakey har uljhan ke hal mein.
Tabhi toh Guruji ne diya hai is jeevan ko darja safar ka
Taaki hamaare is safar mein pramaan ho Unke vachanon ke asar ka
Anivaarya hai sabhi ka yogdaan
Varna kalyugi spandan karta rahega sabko pareshaan.
Gungaan karein Guruji kee vadiyaayee ka
Anusaran karein Guruji kee guruyaayee ka
Prayaas karein adhyatmik oonchaayee ka
Mita dein is ukti ko, ki βzamaana nahin hai bhalaayee ka.β
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja