July 18, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 1611
Safal Ho Hamaara Janam
Pyaare Guruvar,
Guruji hai Aapka naam
Aap Hain anant rehematon kee khan
Bakhshte Hain aarogyataa, dete Hain jeevan daan
Mada samay aayega, nahin rakha Aapne is satya se bhakton ko anjaan.
Beshak aaj ke daur mein vigyaan ka hua hai vikas
Lekin bhautik padaarthon kee itnee badh gayi hai pyaas
Ki santusht hona kitnon ko toh aata hee nahin raas
Vikaaron se atmabal kamzor hua hai aur kitne toh bann gaye hain mann ke das.
Kalyuga ka hua hai aisa parinaam
Ki kaheen kaheen toh bandagi bhi ho rahi hai badnaam
Kripa kar keejiye koi aisa intazaam
Ki har dil hee bann jaaye dham.
Dham, itna shant aur sundar
Jis mein ho Gurbani ka samundar
Simran chalta rahe yoon is dham ke andar
Ki bhakt dekh paaye Aapko swayam aur doojon ke bheetar.
Dham, itna prem bhara aur pavitra
Ki swarnamayi ho jaaye sabka charitra
Ki vahaan buss jaaye Aapka roop aur chitr
Bannkar murshid, nath, aur mitr.
Dham, itna dayalu aur divya
Ki sabhi nibhaayein apna kartavya
Apna har kaarya Aapko arpit kar ke
Apne har kaam mein bhaav bhar ke.
Bhaav vaisa, jaisa Aapko hai pasand
Bhaav vaisa, jis se atma ko aaye nirmal anand
Kyunki vahee jaayegi uss paar
Jabb shareer reh jaayega is paar.
Sumat bakhshiye aisee ki uchit rahe hamaara aacharan
Hamaari laparwahi se na haani sahe paryavaran
Sakaratmakta phailaakar hum khushnuma banaayein vatavaran
Doosaron ke kaam aayein taaki safal ho hamaara janam.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja