July 23, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1616
Divya Dharohar
Ve Parampita Paramatama
Dee hai Jinhonei hamein yeh atma
Kitna vishwaas kiya hoga Unhonei hum par
Ki hamaare tann mein sajaayi atma, jo hai divya dharohar.
Hum sabki atma Unhee ka toh hai ansh
Shareer mein aayi hai chalaane praaniyon ka vansh
Paramatama ne hee dee hai , Paramatama mein hee ye samaayegi
Jabb takk Unmein samaane ke yogya na hogi, tabb takk na jaane kis kis shareer mein aayegi.
Guruji chaahein ki hum dharohar ka sammaan karein
Tabhi toh Ve kahein ki hum banda banein
Kitne janmon ke pashchaat darja mila hai maanav ka
Aisa kuch na kar baithein ki dekhna pade janam daanav ka.
Guruji ko jo maana hai
Toh Guruji kee bhi toh maanein
Vehem, vikaar, paap karna chodein
Atma ko jakde huey hain jo bandhan, unhe todein.
Na jaane kitne janmon se atma bichdi hui hai Paramatama se
Kyun na isey taraashein paakar ashirwaad Dharamatama se
Mila hai Guru kripa se yeh divya mauka
Agar abb takk atma ka poshan hai roka
Toh abhi se shuru karein
Karna sammaan is avsar ka
Guruji kee baat maan kar
Aadar karein is divya dharohar ka.
Jitna nekneeyat hoga hamaara prayatn
Utnee ujjwal hogi kaamyaabi kee kiran
Aur atyant sunehra hoga veh kshan
Jabb is atma ka Paramatama se hoga punarmilan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja