Komal Karunanidhaan Guruji (07/29/2022)

July 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1622

       Komal Karunanidhaan Guruji

Guruji kee sharan mein
Mil jaati hai jabb sweekriti
Toh aksar Guruji lekha dobaara likh kar
Nikhaar dete Hain niyati.

Unkee sharan mein jabb safar hota hai shuru
Toh maano jaise ek naya janam dete Hain Ve Guru
Kyunki safar ke pehle kadam par milta hai jo Unka naam
Toh tabhi se nishchit ho jaata hai kalyaan hee kalyaan.

Agar na bhi badle hamaari niyati
Toh bhi poora sahaara deti hai Guruji kee preeti
Pooran Guru Hain Guruji pyaare
Lagaate Hain sabke jeevan kee naiya kinaare
Mukti takk pahunchaate Hain Ve
Himmat dekar karmon ko katvaate Hain Ve.

Safar mein beshak aate hain aandhi tufaan
Raksha ka kavach banta hai Guruji ka naam
Lauta dete Hain Ve khoyi hui muskaan
Dete Hain Apni ruhaani maujoodagi ka pramaan.

Dete Hain Guruji bhakton ko itna pyaar
Ki veh pyaar bann jaata hai safar ka aadhaar
Uss pyaar kee prerna hai aisee anupam
Ki har niraasha ko kar deti hai khatm.

Safar mein ummeed ka sooraj jabb kabhi hota hai astt
Jabb kisee bhi kaaran se bhakt hota hai gumm se grast
Toh Guruji kee samvedansheel karuna
Laati hai safar ke akash mein Aruna.

Safar kee manzil agar hoti hai duur
Toh bhi har andheri moad par raaj karne lagta hai Unka noor
Har pal rakhte Hain Guruji bhakt ka khayaal
Komal karunanidhaan Guruji kee leela hai bemisaal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Komal Karunanidhaan Guruji (07/29/2022)

Leave a comment