Gilaas Aadha Khali Hai Ya Hai Aadha Bhara Hua (08/04/2022)

August 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1628

Gilaas Aadha Khali Hai Ya Hai Aadha Bhara Hua

Sabne dekha aur suna hai yeh udaaharan
Ki gilaas aadha khali hai ya hai aadha bhara hua
Lekin jeevan kee bhaag-daud mein aksar
Yeh vichaar ho jaata hai bhoola hua.

Shaayad aisee soch lagey saadhaaran
Lekin bahut mainey rakhta hai yeh udaaharan
Kyunki sakaaratmak soch le jaati hai shubhta kee oar
Aur is se pakki hoti hai haunsle kee doar.

Guruji bhi kahein ki sabb rakhein soch sakaaratmak
Aur sada karein Unka Shukrana
Soch se hee bante hain karam
Zaroori hai karmon mein sakaratmakta ko laana.

Bahut shakti hai sakaaratmak spandan mein
Aur is se shukr ka ehsaas badhta jaata hai vandan mein
Maansik aur kaayik roag honei lagte hain kumm
Sehensheelta badhti hai, mitne lagte hain kayi gumm.

Jabb takk saansein hai, jeevan toh jeena hee hai na
Aasaan hai sab uske liye, jisne sakaaratmakta ka gehna hai pehna
Gehna hai ye sahi mainey mein, kyunki is se aata hai chehre par vishwaas ka noor
Aur jitnee bhi badi samasya ho, mann kehta hai ki samaadhaan nahin hai duur.

Sakaratmak soch dwaara ekaagrachitt hona ho jaata hai aasaan
Har kaam mein lagne lagta hai pehle se zyaada achcha dhyan
Aur chaahe kasht mein ho koi paraaya ya phir apni hee santaan
Sakaratmak soch se thamm jaata hai ghor se ghor tufaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Gilaas Aadha Khali Hai Ya Hai Aadha Bhara Hua (08/04/2022)

Leave a comment