August 5, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1629
Sabb Yaheen Ka Yaheen Reh Jaana Hai
Aaj ke na jaane kitne saare pal
Kal ke baare mein sochte huey rahe hain beet
Ya veh kal jo beet gaya, ya kal jo kal hee aayega
Aise mein mann ko aaj se zyada kal se honei lagti hai preet.
Jo kal beet gaya, nahin sakte hum usey badal
Khud ko sikhaayein, ki uss kal kee galatiyon se seekh kar aagey lein hum chal
Beete kal kee madhur yaadon ko dil mein basaayein
Agar hon koi gile shikve, toh unhe jald se jald bhulaayein.
Beete kal ko aaj par na padne dein bhaari
Aaj ka sadupyog kar ke awashya karein aane wale kal kee tayyaari
Lekin aisa karte karte bhool na jaayein dena aaj ko mahatva
Ghar parivaar samaj kee oar nibhaayein aaj ka kartavya.
Achche se jeeyein aur karein parishram
Chinta ke bajaaye chintan mein bitaayein kshan
Vikaaron aur paapon ko na karne dein apne jeevan par raaj
Waqt ka sammaan karein aur neki se jee lein aaj.
Bachche sada chhote nahin rahenge
Apne pankh phailaakar kal bharenge udaan
Isliye aaj unke sangg waqt bitaayein
Dein unko aur paayein unse pyaar aur gyan.
Humsafar jeevansaathi aur parivaar ke saath
Koshish kar lein ki aaj kar lein baat
Kiske jaane ka kabb aa jaaye pal
Veh pal aaye aaj ya kal
Aisa na ho ki kal mein khokar
Aaj ke lamhon ko ganva dein
Aane wale kal ke peechhe aise daudein
Ki aaj kee khushiyan dabaa dein.
Guruji Hain MahaShiv ke avatar
Bashar bann kar aaye hamaare liye
Unhonei maanav shareer choda
Yeh bahut gehri shiksha hai hamaare liye.
Jabb swayam Prabhu ne bhi chod diya apna maanav shareer
Toh hamaare shareer kee toh insaan honei kee vajeh se honi hee hai yeh taqdeer
Isliye kal ke liye batorne mein itne bhi na ho jaayein magan
Ki aaj ko jeene mein na laagey lagan.
Sabb yaheen ka yaheen reh jaana hai
Kewal atma ne hona ravaana hai
Hamaara yeh jeevan karega atma par jo asar
Usee se tayy hoga uska aagey ka safar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja