August 16, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1640
Thoda Ruk Kar, Thoda Jhuk Kar
Maansik taur par
Thoda ruk kar
Thoda jhuk kar
Kalyaan hota hai aksar.
Kaun jeeta kaun haara
Ye shabd judey hain haar aur jeet se
Shanti kee oar jaana hai toh
Inhe chod kar judna hoga preet se.
Krodhit hokar durbhaav paalna
Is se kalankit hogi apni hee atma
Guru ke maargdarshan se aatmabodh kar
Ho jaayega har anuchit soch ka khaatma.
Is jeevan ko aise jeeyein
Ki yahee bann jaaye pichhle kukarmon ka praayashchitt
Aise praayashchitt mein hai swayam ka hitt
Kyunki is se atma ke kalank jaayenge mitt.
Guruji ke aadesh dwaara karna hai simran aur dhyan
Is se pavitrikaran hoga aur hoga kalyaan
Thoda ruk kar, thoda jhuk kar jo laabh hoga praapt
Uss se mit jaayega aaj aur kal ka maansik santaap.
Guruji ke hukm ko maanein
Unmein basey Ish ko pehchaanein
Apne kalyaan kee oar kadam badhaane ka mila hai avsar
Buss, thoda ruk kar, thoda jhuk kar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja