Isee Se Kalyaanmayi Hoga Jeevan (08/25/2022)

August 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1649

Isee Se Kalyaanmayi Hoga Jeevan

Na vyarth ganvaayein ye samaa
De dein aur maang lein kshama
Vishwaas karein, andhvishwaas nahin
Ehsaas karein, uphaas nahin.

Sadh kee sangat karein, kusangat nahin
Guruji ka simran karein, museebaton ka smaran nahin
Ibadat karein, shikayat nahin,
Maanein Guruji kee, maangein nahin.

Beparwaah rahein, laparwah nahin
Shukraguzaar rahein, nashukr nahin
Ullaasit rahein, udaas nahin
Mann ke swami banein, mann ke das nahin.

Guruji ke saamne sabki zindagi hai khuli kitaab
Koi laabh nahin chadhaane ka ispar nakaab
Jo Nirankar deta hai khushiyaan behisaab
Na rakhein Unhe yaad karne ke palon ka hum hisaab.

Buss, har vele simran
Har vele dhanyawaad
Isee se kalyaanmayi hoga jeevan
Jo hai Unka diya hua prasaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Isee Se Kalyaanmayi Hoga Jeevan (08/25/2022)

Leave a comment