August 26, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 1650
Jabb Se Mera Sees Unke Charnon Mein Hai Aaya
Guruji kee mehar se
Mainey Unke naam ka deep jalaaya
Unke naam kee lau mein
Tarne laga hai mera wajood aur mera saaya.
Guruji ke naam ka khumaar
Mere chitt ko yoon hai bhaaya
Ki uss khumaar ke matvalepann se
Mere roam roam mein anand hai samaaya.
Guruji ne protsaahan dekar
Kathin raahon par bhi hai chalaaya
Jabb museebaton ka pahaad bhi aaya
Unhonei himmat dekar uspar chadhaaya aur usey paar karaaya.
Guruji kee mamta paakar
Mera dil har dard bhool paaya
Murshid Hain Ve, meet bhi
Unhonei har kadam par samjhaaya.
Aisee leela hai Guruji kee
Aisa prataap Unhonei hai dikhaaya
Ki atoot vishwaas ho gaya hai Unpar
Aur dil mein Shukrana ka bhaav hai aaya.
Guruji ke noor se ujjwal hua hai mera safar
Aur mera har raasta hai jagmagaaya
Mere antakaran kee vaadiyaan goonjti hain Guruji ka naam lekar
Jabb se mera sees Unke charnon mein hai aaya.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja