Sabse Mahatvapoorna Sandesh (08/30/2022)

August 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1654

      Sabse Mahatvapoorna Sandesh

Lahore kee Choona mandi mein janme Jetha Ji
Apne pita HarDasji aur Mata Dayaji kee dhanya santaan
Anaath honei ke pashchaat rahe Ve nani nana ke saath
Unhonei nani ke kehne par kiya chane bechne ka kaam.

Jetha ji kee sewa se hokar prassann
Guru Amar Das Ji ne unse byahi Apni behen
Unkee yogyataa dekhkar Unhe Guru gaddi ka mila sammaan
In Guru Ram Das Ji ke ashirwaad se Amritsar ko mila apna naam.

Dharma ka kiya Unhonei prachaar
Unhonei kiya paropkaar
Apne putr Guru Arjun Dev Ji ko niyukt kiya Gurugaddi par
Goindwal Sahib mein Unhonei Apna shareer choda aur ho gaye amar.

Inhee Guru RamDas ji ke Jyoti Jyoti divas par sabhi ko naman
Sikhon ke chauthe Guru is din Nirankaar kee jyot mein samaaye
Aaj bhi sangat atyant prem aur aadar se
Unke sammaan mein sees jhukaaye.

Hartalika Teej ka bhi din hai aaya
Yeh tyohaar akhand saubhagya ka vardaan hai laaya
Niraahaar nirjal rehne kee hai reet
Naariyan maangti hain apne suhaag kee lambi aayu
Aur dikhaati hain is tareh se apne preetam kee oar preet.

Kunvaari kanya bhi manovaanchhit var paane kee ichcha se
Rakhti hain nirjalaa vrat is tyohaar ke din
Maanyataa hai ki Maa Parvati ne Shivji ko paane ke liye
Kathor tapp kiya aur yeh vrat rakha ann aur jal liye bin.

Hartalika Teej ke din
Bholenath huey AdiShakti se prassann
Unhonei Maa Parvati ko sweekaara
Aur Srishti honei lagi sampann.

Parv ke prabhat mein ghar kee hoti hai safaai
Naari karti hai solah shringaar
Khoob ullaas aur pyaar se
Veh hoti hai is vrat ke liye tayyaar.

Baalu ret ka Shivlinga banaakar
Naari paanch baar karti hai poojan
Shivji aur Maa Parvati ko sajaakar
Karti hai veh Unka stavan bhara vandan.

Guruji ne Apne bhakton ke liye
Banaaya har tyohaar ko itnee saralta se khaas
Jabb takk kisee ko Unka hukm na ho
Tabb takk awashyak nahin hai ann jal ka upvaas.

Ve buss kahein hum bande banein
Vikaaron aur paapon ka upvaas karein
Bhog bhogein aur lein jeevan ka anand
Lekin aasakti kee vajeh se na bhoolein Paramanand.

Ghar se bhi pehle antarmann kee safaai ka karein abhyaas
Nirantar karein hum simran ka prayaas
Vrat rakhein beshak chaav se
Karma karein shuddh bhaav se
Ghar parivaar kee oar kartavya nibhaayein
Insaaniyat dwara sansaar ko yogdaan de paayein.

Jabb jabb boyenge hum bhakti ka beej
Hum mann hee mann manaa paayenge teej
Reet nibhaane kee nahin hai koi manaahi Guruji ke darbar mein
Lekin atmabal kamzor nahin karna
Karma kaand ya andhvishwaas ke dabaav mein.

Paramatama mein hoga atma ka samaavesh
Yahee hai sabse mahatvapoorna sandesh
Sabhi mein Shiv basey Hain, aur Guru Hain Nirankaar ka roop
Sabhi mein divya jyot hai, akhand aur anoop.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabse Mahatvapoorna Sandesh (08/30/2022)

Leave a comment