August 31, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1655
Ganesh Chaturthi
Budhvaar ke Devta Hain
Pyaare Shri Ganesh
Vighna harta Hain Ve
Hai Unkee mahima aparampaar
Aur is varsh Budhvaar ke hee din
Hai Ganesh Chaturthi ka tyohaar.
Madhyaahan kaal mein
Hua Ganeshji ka janam
Maa Parvati ke shareer kee mayyl se
Huey Ve utpann.
Mata kee raksha ke liye baney Ve dwaarpal
Gana adhyaksh ka padd phir liya sambhaal
Unka kartavya paalan mata pita ko bhaaya
Aur Unhonei agrapooja ka vardaan paaya.
Maana jaata hai ki jo bhakt jann Ganesh Chaturthi par
Ganesh ji kee pratima kee karte hain sthaapana
Aur phir dus din ke liye karte hain Ganesh ji ka puja vandan
Unke saare sankat har lete Hain Parvati nandan.
Dhol nagaade bajte hain
Bhakt jann sajte Hain
Jhaankiyon ke karte hain darshan
Gaate aur sunte hain Ganeshji ke bhajan.
Modak hon ya makhaane kee ho kheer
Inke bhog se Ganapati ji hotey Hain prassann
Dukh harta sukh karta Ganapati Bappa
Karte Hain Apne bhakton ko sampann.
Duss din ka yeh mahotsav
Dhoom dhaam ke sangg aaj hai aaya
Bhakton ne badi shraddha se
Ganapati kee pratima ko hai sajaaya.
Phal, patte, aur phool
Deepak, durva, aur kaphoor
Sindoor, haldi, dhoop, aur chandan
In sabse ho raha hai Unka shringaar aur stavan.
Ganeshji ke maathe ka hai sindoori rangg
Hai Unka divya aur anokha dhangg
Vandaneeya hai Unkee subuddhi aur soch kee shuddhi
Unke sangg Hain Shubh, Laabh, Riddhi aur Siddhi.
Guruji ke banvaaye Bade Mandir mein
Pravesh karte hee Ganeshji kee moorti ke hotey hain darshan
Vighna harta Ganapati ke ashirwaad se
Vikaaron ko tyaag kar hum karein apni atma ka poshan.
Hamaare adhyaatmik safar mein vighna bannkar
Hamein neeche giraate hain hamaare vikaar
Bahut hee badi baadha hai ye agyan ka andhkaar
Adhyaatmik raaste par ye baadha roak leti hai baar baar.
Ganesh ji ke ashish se har kaarya ka hota hai shubh aarambh
Aaj is shubh din par vikaar tyaagne mein na karein hum vilamb
Simran aur dhyan karein baarambaar
Taaki hatt jaaye raaste ka agyan roopi andhkaar.
In vighnon ke hatne se hee hoga oordhvagati ka intazaam
Shraddha bhari bhakti se mil jaayega kshama daan
Ganeshji ke charnon mein koti koti pranaam
Param poojya hai Shivji ka parivaar aur Unka dhaam.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja