Shikshak Divas Ka Parv (09/05/2022)

September 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1660

            Shikshak Divas Ka Parv

Pyaare Guruji,
Deeksha ke daata
Shiksha ke pradaata
Guru aur vidhaata
Aapke charnon mein naman.

Aapke maargdarshan se
Aapke divya spandan se
Ujjwal aur sugandhit hain meri raahein
Gurudev, sada thaame rehna meri baahein.

Simran aur dhyan
Aapka diya gyan
Aapki mehar se usey prayog mein laaoon
Chitt kee chetna
Aapki dee har prerna
Uska uchit upayog mai kar paaoon.

Kripa kar mitaate rahiye
Mere agyan ka andhkaar
Tarti jaaoon, behtar banti jaaoon
Paakar Aapka divya pyaar.

Guru ke roop mein murshid Hain Aap
Mai shagird Aapki
Aapki dikhaayee raah par chaloon aur karoon
Mai kirt Aapki.

Shikshak Divas ka parv hai bahut khaas
Sada Apni sharan mein rakhna, hai Aapse yeh ardaas
Aap Hain pooran Guru aur shikshak mahaan
Aapke charnon mein vandan aur koti koti pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shikshak Divas Ka Parv (09/05/2022)

Leave a comment