September 11, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1666
Soch
Har soch ka hota hai deh par asar
Har soch par jeevan ka basar karta hai nirbhar
Har soch par rehti hai Guruji kee nazar
Har soch ko hum sochein zara sambhal kar.
Soch hee karma banaati hai
Soch hee kaarya karvaati hai
Soch jabb mann mein aati hai
Veh aagey kee disha dikhaati hai.
Guruji se karein vintee
Ki hamaari soch Unke noor se rahe ujjwal
Kyunki soch banaa ya bigaad sakti hai
Hamaara aaj aur hamaara aane wala kal.
Guruji ke noor se soch jo rahegi roshan
Toh hoga atma aur deh ka paawan poshan
Har karma mein Guruji ka maargdarshan hum pehchaanenge
Aur usee ko kalyaan ka raasta maaneinge.
Soch kaarya se bhi mahatvapoorna hai
Kyunki soch se hee kaarya ko miltee hai prerna
Pyaare Guruji, Aapki mehar se dil-o-dimaag mein rahe
Sada sahi sochne kee chetna.
Aankhein khuli hon ya hon bandd
Sotey huey ya jaagte huey
Aaspaas bheed ho ya ho ekaant
Aapke simran se mann rahe sthir aur shant.
Uss sthirta aur shanti ka hota rahe soch par prabhaav
Is prabhaav se nirmal hota rahe bhaav
Is nirmal bhaav se soch ko sajaayein
Taaki hamaare karma hamein kalyaan kee oar le jaayein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja