Daya Ka Daan (09/12/2022)

September 12, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1667

                     Daya Ka Daan

Bhakt thaa bahut mayoos aur laachaar
Guruji ne kaha, “Buss, thoda aur intazaar.”
Bhakt ne kaha, “Mai toh kab se raha hoon pukaar.”
Guruji ne kaha, “Mai sunn raha thaa har baar.”

Bhakt ko honei lagi thodi si sharmindagi
Lekin mahaan hai Guruji kee bakhshindagi.

Guruji ne kaha, “Katne wala hai tera yeh karam. Kar thoda sabr.”

Bhakt ne kaha, “Guruji, kumm hai jitna karoon Aapka shukr.
Mai vyarth hee jaata hoon ghabraa
Dekhkar aagey sankat bada
Mere Guruji se bada kuch bhi nahin
Guruji, Aapke saamne nahin tik sakti koi balaa.”

Guruji bhakt ko kamla kehkar muskuraaye,
Aur bhakt Unke charnon mein baitha sir ko jhukaaye,
Maun mein thei dono lekin ek dooje kee baat rahe thei samajh,
Aur bhakt ke mann kee uljhan rahi thi sulajh.

“Kalyaan kitta,” Guruji ne kaha
Bhakt kee aankh se aansoo baha
Usmein thaa sweekriti aur Shukrana ka ehsaas
Aur bilkul ekant thaa aaspaas.

Guruji ne bhakt ko dee agya ghar jaane kee
Bhakt ne bayaan kee guzaarish jald hee phir aane kee
Guruji ne dee manzoori
Usey kaha ki veh rakhe shraddha aur saboori
Der beshak lagey, uske kasht talenge zaroor
Aur Guruji kabhi na hongei uss se duur.

Bhakt ko ho gaya poorna santosh
Ho gaya veh khaamosh
Kar ke Guruji ke charan sparsh
Samet kar apne mann mein harsh
Lauta veh apne ghar
Yaad karta hua Guruji ka dar.

Guruji sab bhakton ka kar rahe Hain kalyaan
Is satya se na rahe koi bhi anjaan
Hum bhikshuk hain, Ve Hain naath karunanidhaan
Awashya denge Ve sabhi ko daya ka daan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Daya Ka Daan (09/12/2022)

Leave a comment