September 17, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 1672
Saubhagya Ka Sooraj
Samay kee gati ruk si gayi
hai
Kismat samay ke saamne jhuk si gayi hai
Guruji sab Hain dekh rahe
Lekha dobara Hain likh rahe.
Aaya hai ek aur imtehaan
Tu buss japta chal Guruji ka naam
Guruji ke har hukm mein hai veh paigaam
Jis se nishchay hee hoga tera kalyaan.
Guruji bakhshanhaar Hain
Ve hee taaranhaar Hain
Ve nirdeshak Hain, Ve hee chitrakaar
Tu buss nibhaata chal apna kirdaar.
Bhaagya ka kya kehna
Praarabdh toh padega sehna
Usee se hoga karmon ka bhugtaan
Usee mein hai tera kalyaan.
Soch na tu is anubhav ko saza
Isee mein hai Guruji kee raza
Kashton ke baadal beshak hain chhaaye
Unhonei jis sooraj ko liya hai chhupaaye
Saubhagya ka veh sooraj ho chuka hai uday
Ismein nahin hai ek maatra bhi sanshay.
Iska pramaan hai ye ki tujhe
Guruji ne hai sweekaara
Tere jeevan mein aaj se pehle bhi
Unhonei diya hai tujhe sahaara.
Karta chal Guruji ka dhanyawaad
Kaayam rakh bandagi ka jazbaat
Guruji karte Hain tujhse behad pyaar
Chaahte Hain ki tere karma bhugatvaa dein abb kee baar.
Beshak lagey ki ruka hai samay
Tu chaalaata chal apne kadam
Guruji dete rahenge shaabaashi
Dekh kar teri lagan.
Guruji rahein tujh par prassann
Isee prayaas mein guzaar har kshan
Nibhaata chal apna farz, aur simran mein reh magan
Saubhagya ke sooraj se zaroor ujjwal hoga tere jeevan ka gagan.
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja