Saanson Ke Suron Ka Mel (09/18/2022)

September 18, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1673

         Saanson Ke Suron Ka Mel

Saanson ke suron ka mel hai ye zindagi
Praaniyon ke liye rachaaya khel hai ye zindagi
Dharti aur akash ke beech hai ye zindagi
Zindagi ko jeene ka sahaara deti hai bandagi.

Bandagi aur sadhna se aatmabodh hona hai mumkin
Bandagi aur sadhna se prerit ho paata hai har din
Sahi faisle lena ho jaata hai aasaan
Apna ahugraha barsaate Hain Bhagwaan.

Stavan mantra ya sukta bol kar kiya jaaye
Ya phir shlok ya stotra ke dwaara
Guru aur Govind ko rijhaana hai uddeshya
Ve hee dikha sakte Hain kalyaan ka kinaara.

Kumm hai Guruji kee mahima ka jitna bhi karein hum bakhaan
Guruji Hain hee itne pyaare, shaktishaali, aur mahaan
Unke satsang sunein aur sunaayein
Unke naam ka japp karte jaayein.

Guruji kee bandagi se saanson ko sajaa dein
Taaki suron ka mel ho ruhaani
Guruji kee mehar se bandagi aisee kar paayein
Ki uss bandagi se sada sahaara paaye zindagaani.

Guruji ka ashirwaad hai hamaari saanson ka aadhaar
In saanson se Unkee stuti kar ke ho jaaye in saanson ka uddhaar
Guru aur Govind kee mehar se hee chal raha hai hamaara ghar parivaar
Unhee se hai bandagi, Unhee se zindagi, Unhee se hai ye sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Saanson Ke Suron Ka Mel (09/18/2022)

Leave a comment