September 26, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1681
Sharad Navratron Ka Parv
Kailas se Prithvi Lok par
Aayin Hain Adi Shakti
Sharad Navratron ka parv hai aaya
Utsaahit hui hai bhakti.
Is baar maa ka aagaman
Ho raha hai haathi par hokar savaar
Sanket hai ye Devi Bhagwat ke anusaar
Ki aayegi samriddhi aur khush-haali kee bahaar.
Mata kee bhenton se goonjta hai vaataavaran
Sabhi ko mangal chhaaon dein Mata ke kamal charan
Buraayee par vijay acchhaayee kee
Adharma par jeet dharma kee
Aise sandesh laati Hain Mata Rani
Spandan hota hai shubh aur ruhaani.
Nau din par hoti hai maa ke nau roopon kee pooja
Apne ashirwaad se maa de bhakton ko gyan, shakti, aur oorja
Pehla din Maa Shailputri ko samarpit
Himvaan kee putri, Jinhe pooj kar shant ho jaaye chitt.
Karkamal mein kamal ka phool aur Trishul
Shwet rangg, aaye Maa Apne vrishabh vaahan ke sangg
Jagaayein bhakton kee chetna
Dein Ve shuddhi kee prerna.
Hain Ve Shivji ke Ardhnareeshwar roop ka bhaag
Jagaayein bhakton ke soye bhaagya
Guruji Hain MahaShiv swayam
Ve khud hee Hain Shiv aur Shakti param.
Guruji ke bhakton ke liye bhi
Navratri hai tyohaar khaas
Jahaan Shiv baste Hain swayam
Vahaan shakti ka hota hai vaas.
Sabhi ko sharad navratron ke aagaman kee
Shubhkaamnaayein bahut saari
Sabhi ka jeevan mangalmay banaaye
Mata Rani poojya aur pyaari.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja