Apne Bheetar Basey Bhagwaan Ko Paayein (09/28/2022)

September 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1683

Apne Bheetar Basey Bhagwaan Ko Paayein

Sharad navratri mein ho rahi hai
Maa ke nau swaroopon kee khaas vandana
Aaj teesra din hai Maa Chandraghanta ka
Bhakt karein aaj Unkee archana.

Uthaakar trishul, talwar, aur gadaa
Maa bhakton ke dukh duur karey sada
Mastak par ardhchandra hai ghante ke aakaar ka
Maa kee kripa se tal jaaye sankat har prakaar ka.

Svarn hai Maa ka rangg
Dus hain Maa ke haath
Vaahan hai Unka sinh
Jo sada hota hai saath.

Bhog ke liye mithai ho jismein ho doodh
Pooja ke liye pushp, deep, aur dhoop
Saath mein akshat, gandh, aur sindoor
Maa karey vaivaahik samasyaayein bhi duur.

Chandraghanta roop Maa ka
Bhakt ko dein aisa anmol ashirwaad
Ki divya sugandh aur divya dhvani ka ho anubhav
Aur divya dhyan ho jaaye aabaad.

Guruji ke bhakton ko bhi
Guruji karein aise anubhav pradaan
Tarta hai zaroor har bhakt
Jo karey Gurujī ka simran aur dhyan.

Samasyaayein sulajhaate Hain Gurujī
Kasht taalte Hain Guruji
Dete Hain pita ka pyaar aur maa kee mamta
MahaShiv Hain, aparampaar hai Unkee kshamta.

Navratron ke teesre din par
Maa ke Chandraghanta swaroop ko naman
Apne bheetar basey Bhagwaan ko paayein
Kar ke simran, manan, sadhna, aur vandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apne Bheetar Basey Bhagwaan Ko Paayein (09/28/2022)

Leave a comment