September 29, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1684
Navratri Ka Chautha Din
Navratri ka chautha din hai aaya
Har roz kee tareh bhakton ke hriday mein utsaah hai chhaaya
Aaj ka din hai Maa ke Kushmanda swaroop ko samarpit
Jinke charnon mein shraddhaalu karein apni bhakti arpit.
Kiya Jinhonei Brahmand ke andd ko utpann
Apni mandd muskaan ke dwaara
Ve Hain Kushmanda Mata
Jo sada deti Hain apne bhakton ko sahaara.
Maa deti Hain mamta aur oorja
Unka tej har praani ko bheetar se taare
Kitne bhakt karte hain Unkee pooja
Shraddha se aakar Unke dwaare.
Ashta siddhi nau nidhi kee daata
Noor Unka sampoorna Brahmand par hai chhaata
Ashtabhuja Kushmanda mata
Ko jo bhakt hai dhyaata
Mata karein uss bhakt ke roag aur shoak ka naash
Aur usey dein bal, aayu mein vriddhi, aur mitaayein uskee traas.
Guruji ka divya noor chhaaya hai har disha mein
Unke bhakt jann ko Unka sahaara hai niraasha kee har nisha mein
Pooran Guru Hain Guruji, aur bhakt dhanya hain paakar Unkee mamta
Guruji kee kripa se simran aur sadhna se paa lein hum mann kee samta.
Divya ashirwaad se manaayein sabhi
Yeh navratri ka parv
Guruji ke kahein bande banein
Taaki Unhe ho hum par garv.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja