Abb Ghabraana Chod De (10/31/2022)

October 31, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1716

            Abb Ghabraana Chod De

Guru bin na gati
Guru bin na gyan
Guru bin na sumati
Guru ka kar le dhyan.

Guru bin nahin prakash
Dhoond le chaahe dharti akash
Guru bin na savera na dera
Har oar laavaaris sa andhera.

Guru bin duvidha aur uljhan
Guru bin bechayyn ho mann
Guru bin na miley asal dhan
Guru bin sada nirdhan.

Guru bin na miley manzil
Bhatke mann anjaan
Guru bin tarna namumkin
Phir kaise ho kalyaan?

Guruji ne liya hai tujhe sharan mein
Chamak gayi hai teri kismat
Ve hee kar rahe Hain tera kalyaan
Ve hee de rahe Hain sumat.

Unhee se hai raasta
Unhee se milegi tujhe manzil
Tera uddhaar nishchit hai
Abb ghabraana chod de, aye dil.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Abb Ghabraana Chod De (10/31/2022)

Raaste Ke Beech Na Dhoondh Tu Manzil (10/30/2022)

October 30, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1715

Raaste Ke Beech Na Dhoondh Tu Manzil

Raaste ke beech na dhoondh tu manzil
Manzil hai raaste ke paar
Kaise pahunchega tu vahaan takk
Vahee hai tere jeevan ka saar.

Jo beetegi tujh par is raaste par
Usey seh kar, uska saamna kar ke hoga tera uddhaar
Jo sakaaraatmak parivartan tujh mein aayega
Vahee hoga tera sudhaar.

Tu apni chetna kee awaaz nazar andaaz kar ke
Na dena apne kisee karam ko bigaad
Kyunki teri anginat galatiyon ke baavajood bhi
Tujhe Guruji ne kiya hai sweekaar.

Ve teri madad karte rahenge
Tu Unhe shuddh bhaav se deta chal pukaar
Ve bakhshte rahenge tujhe
Tu maafi maangte rehna baarambaar.

Kyunki chaahe anjaane mein hee hon
Tujh se galatiyan hoti hain kayi baar
Aur teri kshamaa yachna sweekarenge Guruji
Kyunki Ve Hain bakhshanhaar.

Teri neeyat aur mehnat dekh kar
Tujh par rehmat barsaate chalenge Guru sarkar
Tera vairaagya dekh kar
Tujhe Apne kareeb laate chalenge Ve Nirankaar.

Tu sabr rakh aur har farz nibha
Guruji khatm karenge tera har vikaar
Tujhe santosh kee daat dekar
Guruji prem se tujhe denge taar.

Raasta katt jaayega
Beshak imtehaan honge kayi hazaar
Guruji har pal tere angg sangg hongei
Isliye zaroor pahunchega tu manzil par, raaste ke paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Raaste Ke Beech Na Dhoondh Tu Manzil (10/30/2022)

Tu Apna Bhalaa Jaan (10/29/2022)

October 29, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1714

              Tu Apna Bhalaa Jaan

Guruji na bhi aayein tujhe nazar
Toh bhi Ve rakh rahe Hain tujh par nazar
Chetna ke roop mein
Galat kaam karne se Ve rokein
Prerna ke roop mein
Himmat haarne se Ve tokein.

Ve Guruji hee Hain
Jo kar rahe Hain tera uddhaar tujhe Apne se jod kar
Ve Guruji hee Hain
Jo tujhe azaad kar rahe Hain tere bhautik bandhan toad kar.

Jo sukoon milta hai tujhe simran se
Guruji Hain uss ehsaas ke aadhaar
Jo seekh mil rahi hai tujhe jeevan se
Guruji hee Hain usmein madadgaar.

Jo lagta hai tujhe ki kaise itne kumm samay mein
Tere karmon ke sainkdon khaate chal rahe hain ek saath
Ve aur koi nahin balki Guruji Hain
Jinka hai is silsile mein poora haath.

Ho rahi hai tujhe bhog se jo anaasakti
Usmein lagg rahi hai Guruji kee anant shakti
Jis safar par chal padi hai teri Unke prati bhakti
Veh bhi hai Unkee hee anokhi hitkaari yukti.

Waqt kee jis dhaara mein tu haath dho raha hai
Uska bahaav Unkee marzi se hee ho raha hai
Sewa ke jo beej Guru kripa se tu karma bhoomi mein bo raha hai
Guruji ka mahaatmya unke dwaara tere pichhle paap dho raha hai.

Jo vairaagya ho raha hai tujhe sansaar se
Jo aakarshan ho raha hai tujhe divya pukaar se
Guruji hee Hain iska raaz ruhaani
Kyunki Unkee leela hai bilkul deewani.

Toone maanga Unse ki Ve karein tera kalyaan
Isliye Unhonei shuru kar dee teri ruhaani udaan
Guruji ke hee vash mein hai yeh vichitra vimaan
Aur jo ho raha hai, usmein tu apna bhalaa jaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Apna Bhalaa Jaan (10/29/2022)

Aane Wala Kal Hoga Aaj Se Behtar (10/28/2022)

October 28, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1713

   Aane Wala Kal Hoga Aaj Se Behtar

Samaa raha hai guzar
Tu bilkul chinta na kar
Guruji rakh rahein Hain tujh par nazar
Aane wala kal hoga aaj se behtar.

Guruji ke simran se uday hogi sehar
Unkee kripa se simran hoga aathon pehar
Aise barasti rahegi Unkee mehar
Ki daraa na paayega koi keher.

Unhe hai tera poora poora khayaal
Isliye mann se hataa de tu shankaa wale sawaal
Arey, Unkee leela hai aparampaar bemisaal
Unkee leela se kushal ho jaayega tera haal.

Vaise toh abhi bhi is se zyada bura hota tera haal
Ye toh Guruji Hain jo rahe Hain tujhe sambhaal
Unke kisee hukm ko na taal
Kyunki Unka naam aur vachan hai teri dhaal.

Matt ghabraa
Buss, muskuraa
Guruji ke naam mein mastt ho jaa
Unke hukm ke paalan mein vyast ho jaa.

Ve karte rahenge tujh par nadar
Unke ashirwaad ka hoga poora asar
Tu hoga Unke chaahe panth par agrasar
Aur aane wala kal hoga aaj se behtar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aane Wala Kal Hoga Aaj Se Behtar (10/28/2022)

Guruji Se Hai Fariyaad (10/27/2022)

October 27, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1712

            Guruji Se Hai Fariyaad

Guruji se hai fariyaad
Ki na bhoolne dein Apni yaad
Apni maujoodagi se rakhein mere mann ko aabaad
Sada barsaayein Apna ashirwaad.

Pakka rahe bhakti ka iraada
Na tootey prem bhaav ka vaada
Jeevan rahe saral aur saada
Chaahe kumm ho ya ho zyaada.

Karti rahoon…..
Guruji ka chintan
Guruji ka vandan
Guruji ka poojan
Guruji ka simran.

Sada miley….
Guruji ka haath
Guruji ka saath
Guruji ka pyaar
Guruji ka deedar
Guruji ka dulaar
Guruji ka dwaar.

Guruji ke hee charan
Guruji kee hee sharan
Unke charan mein hee jeevan
Unke charan mein hee maran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Hai Fariyaad (10/27/2022)

Surakshit Hai Tu (10/26/2022)

October 26, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1711

                 Surakshit Hai Tu

Surakshit hai tu
Susajjit hai tu
Guruji ke naam dwaara
Isliye tu nahin hai bechaara.

Dukh agar padega tujhe sehna
Niraasha mein tu matt rehna
Guruji ke naam ka jo kavach hai toone pehna
Vo hai tera sabse anmol gehna.

Matt kar atma taras
Tujh par mehar rahi hai baras
Isee dukh se nikalega raasta sukh ka
Tu shukrana manaayega is dukh ka.

Guruji saagar Hain rehmat ke
Ve strot Hain himmat ke
Tu prerna strot bann ibadat ka
Shukrana kar Unkee har inaayat ka.

Dukh ka astitva hee jaayega mit
Kyunki har paristhiti mein hoga tera hitt
Kaheen kaheen chhipa hua sa, kaheen kaheen spasht
Isliye tujhe koi kasht na lagega kasht.

Guruji ke naam ka kavach tujhe zaroor aise mukaam par pahunchaayega
Jabb har sukh dukh kewal ek behta anubhav bann kar reh jaayega
Is kavach ke bandhan dwaara hee milegi tujhe veh mukti
Kayi janmon se teri atma dhoondh rahi hai jiskee yukti.

Is azaadi kee oar badhta chal
Samay ka sooraj raha hai dhal
Is nek iraade ko na badal
Isee ke anusaran se tu hoga safal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Surakshit Hai Tu (10/26/2022)

Brajvaasiyon Ka Khaas Tyohaar (10/25/2022)

October 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1710

Brajvaasiyon Ka Khaas Tyohaar

Aa raha hai Brajvaasiyon ka khaas tyohaar
Govardhan Puja ka yeh din aata hai varsh mein ek baar
Vaise jo Diwali ke agley din jaata hai manaaya
Veh Annakoot soorya grehen ke pashchaat jaayega manaaya.

Kul devi devtaaon ka kiya jaata hai vandan
Gaay bayyl ko snaan karaakar lagaaya jaata hai unhe chandan
Aakriti banaayi jaati hai Govardhan parvat kee aur sajta hai ghar ka aangan
Gaay kee aarti hai kee jaati aur hota hai Unka poojan.

Shri Krishna Bhagwaan kee pooja aur aarti ke baad
Chhappan vyanjan ka bhog lagaaya hai jaata Bhagwaan ko
Devraj Indra ke kop se Krishna ji ne bachaaya thaa praaniyon ko
Aur toda thaa Indra Dev ke ahankar ko.

Apni chhoti anguli par utha liya thaa Unhonei Govardhan parvat
Nakaam hua Indra dwaara rachaaya baarish roopi sankat
Sabhi Brajvaasiyon ne milkar banaayi subzi annakoot kee is dauran
Govardhan Parvat ke taley surakshit hokar bach gayi unn sabki jaan.

Prati din aath baar khaane wale Shri Krishna Bhagwaan
Saat din niraahaar rahe uthaakar parvat mahaan
Isliye bhakton ne Unhe chhappan bhog ka diya sammaan
Aur tabhi se chalaa aa raha hai is prathaa ka gungaan.

Kaha jaata hai ki Indra Dev ne Krishna ji se maanga kshama daan
Dharma kee shiksha dekar Unhe kshama ka mila vardaan
Unkee irshya mit gayi aur Unhonei dobara na kiya pehle jaisa shoshan
Krishna ji kee kripa se hota raha prajaa ka sundar poshan.

Guruji Apne bhakton ke liye
Kitne sankat roopi pahaad uthaate Hain
Dharma kee shiksha dete Hain Gurbani ke simran dwaara
Ahankar mitaate Hain aur dete Hain hamein sahaara.

Kshama daan dete Hain
GurujΔ« bakhshanhaar Hain
Taarte Hain bhakton ko
Ve taaranhaar Hain.

Agam agochar Hain Guruji
Kintu Unkee daya barasti hai aparampaar
Guruji ne hee toh sambhaala hua hai
Apne sabb bhakton ka ghar sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Brajvaasiyon Ka Khaas Tyohaar (10/25/2022)

Kaartik Amaavasya (10/24/2022)

October 24, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1709

                 Kaartik Amaavasya

Kaartik Amaavasya kee mahatvapoorna raat
Keh rahi hai hum sabse bahut zaroori baat
Ki raat nahin hai kewal aasmaan mein
Balki hai hamaare girebaan mein
Basee hai raat hamaare agyan mein
Jiska upaay hai simran aur dhyan mein.

Ram basey Hain sabhi mein
Divya chetna ke roop mein
Lekin antakaran mein duvidhaaon ke sangraam mein
Yuddh chal raha hai Raavan aur Ram mein.

Raavan ne kee bahut bhakti
Thi uske paas bahut shakti
Thaa veh bahut gyani
Lekin thaa bahut abhimaani.

Sita maiya vanvaas ke dauran bhi
Rehti thi Ram ke dhyan mein magn
Lekin aakarshit huin sunehre hiran kee oar
Unhonei agyanta vash Laxman Rekha bhi dee toad
Ho gaya Unpar aakraman
Lanka mein saha Sita Ma ne akelapan.

Lakh koshish kee Raavan ne lekin
Na jeet sakaa veh Sita ka dil
Ram ji aur Raavan ke beech hua yuddh
Jeete Shri Ram jinke gunn thei shuddh.

Chaudah varsh beetne par
Pahunche Ayodhya ke dar par
Prajaa ko milee khushi aur shanti
Noorani hoti gayi Shri Ram kee kanti.

Deepawali hui veh raat
Banee sabke liye saugat
Jagmagaate huey deepon kee kataar
Prerit karey hamein har baar.

Yuddh bhoomi hai yeh antakaran
Isey vyaakul karte hain aakarshan
Mann duvidha mein rehta hai
Agyan vash hokar dukh sehta hai
Ho jaata hai asthaayee aur ksheen
Phir vikaar lete hain mann kee shanti ko chheen.

Bandi Chhor Divas bhi hai aaj ke din
Sikh itihaas poora nahin hai is mahatvapoorna din ke bin
Silwaaya gaya khaas chola Shri HarGobind Ji ke liye
Baavan rajaa mukt huey chole kee kaliyon ko pakde huey
Is tareh se Guru HarGobind Ji ne unn rajaon ko Mughal kayyd se karvaaya aazad
Ve Amritsar laute dhoom dhaam se uske baad.

Aatishbaaji hoti hai, jalaayein jaate hain deep
Sandesh hai is utsav ka ki maan-ni hai Guru kee dee hui seekh
Isey mein hai kalyaan
Kyunki Guru ke vachan Hain sabse mahaan.

Guruji ka kaha maankar
Unhe shubhchintak jaankar
Jo hum karte rahein simran aur dhyan
Toh duur nahin rahega ruhaani gyan.

Shart hai magar
Ki karna nahin hai agar-magar
Rakhni hai shraddha poori
Bhog mein aanasakti hai zaroori
Tyaagna hai ahankar
Simran karna hai baarambaar.

Badhta jaayega manobal
Duvidhaaein jaayengi tal
Bheetar ke Raavan ka ho jaayega vinaash
Antakaran ko roshan karega prakash.

Prakash, pavitrata ka
Roshni, ruhaaniyat kee
Spandan, shuddhi ka
Ujaala, subuddhi ka.

Bandi Chhor Divas kee sabhi ko shubhkaamnaayein
Sabhi ke bheetar gyan ke deep jal jaayein
Aayiye, prem se Deepawali ka karein swaagat
Sachche mann se karein ibadat
Ki chetna aur gyan se atma rahe ujjwal
Taaki hum utsav manaayein har pal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujiπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kaartik Amaavasya (10/24/2022)

Roop Chaudas (10/23/2022)

October 23, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1708

                Roop Chaudas

Kaartik maas ke Krishna Paksh kee Chaturdashi hai aayi
Roop Chaudas ka tyohaar hai laayi
Chhoti Deepawali bhi hai iska naam
Is parv kee har katha ko pranaam.

Vishnu Bhagwaan ne is khaas din par devtaaon ko
Gyani Raja Bali ke aatank se mukti dilaayee
Maanga Unhonei kewal teen paaon jitnee zameen ka daan
Aur diya Bali ko varsh mein ek din yaad kiye jaane ka vardaan.

Narakasur ka vadh hua is din
Bhagwaan Shri Krishna, Kali Maa, aur Satyabhama dwaara
Isliye Narak Chaturdashi aur Kali Chaudas bhi kaha jaata hai isey,
Aur Yamraj ka hota hai vandan
Taaki akaal mrityu se bhayy ka ho khandan.

Abhyang snaan, ubtan, mehndi aur shringaar
Mann mein shukrana ka vichaar
Aise mein pooja karta hai saara parivaar
Ki gyan ke deepon se mitey andhkaar.

Ghar kee achche se kee jaati hai safaai
Har dooshit vastu kee hoti hai vidaayee
Shaam kee pooja ke pashchaat ghar ke dwaar par
Jalaakar rakhey hain jaate hain deeye
Ye sabb kiya jaata hai Maa Laxmi ke swaagat ke liye.

Jaise kee jaati hai safaayee ghar kee
Divyata ke niwaas ke liye
Vaise hee apne bheetar kee safaai anivaarya hai
Antakaran kee shuddhi ke liye.

Guruji ka kaha maankar
Apni khaamiyon ko pehchaan kar
Hum Unke ashish se swayam par mehnat kar
Unkee sharan mein jaayein tarr.

Guruji, khandan ho jaaye hamaare har vikaar ka
Hriday mein vaas ho ruhaani pyaar ka
Aapki dee hui sumat se hum nibhaate chalein apna farz
Aapki kripa se har pal kumm hota rahe hum par chadha hua karmon ka karz.

Guruji, hamaari neeyat rahe nek
Aapko arpan karein hum karma pratyek
Hamein deejiye kshama daan
Mita deejiye hamaara aalasya aur agyan.

Guruji, Aapki mehar se hota rahe simran
Aapki karuna se simran se saaf hota rahe mann
Tann mein ho shakti aur roop Aapka diya hua
Khud ko aur baaki sab ko dete rahein hum dua.

Roop Chaudas ke is parv par
Shuddhi aaye sabke ghar
Sankaton ka ho jaaye haran
Mann ka ho pavitrikaran.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Roop Chaudas (10/23/2022)

Dhanwaan Banein (10/22/2022)

October 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1707

                Dhanwaan Banein

Dhanvantari Hain Dev Ayurveda ke
Pauraanik kathaaon mein hai Unka gungaan
Amrit se bharaa sonei ka kalash liye aaye
Ve samundra manthan ke dauran.

Is amrit ke paan se devta Huey amar
Aur honei lagaa Dhanvantari Dev ka sammaan
Diwali panchotsav ka yeh pehle din
Hota hai Dhanvantari Bhagwaan ke naam.

Unke prakat honei ke do din pashchaat
Prakat huin Laxmi Mata
Isliye Unkee pooja ke sangg
Maa Laxmi ka poojan bhi hai kiya jaata.

Ganesh ji, Kuber Devta aur Yaamraaj ka hota hai vandan
Maanyata hai ki dhaatu ke bartan, sona, chandi khareedane se badhta hai bhautik dhan.

Ruhaaniyat ka raasta
Rakhta hai sanatan dhan se vaasta
Aur awashya prasann hon Paramatama
Jabb dhani ho hamaare tann, mann, aur atma.

Jabb takk hamaare tann mein hain praan
Hamaara farz hai rakhna is tann ka dhyan
Nirogi kaaya ke liye karein apni oar se prayatna
Shaareerik swaasthya hai anmol ratna.

Guruji Apni sangat ko dein is oar jaane kee prerna
Aur simran karne ko kahein taaki jaagrit hoti chale chetna
Guruji se seedhi taar jodkar karein har soch aur karma Unhe arpan
Taaki nek neeyat aur sadaasheelta se ho antakaran ka poshan.

Khud khaane se pehle
Guruji ko pehla nivaala shraddha se khilaayein
Guruji ke ashirwaad se
Mann ke vikaar mit jaayein
Humne suna hai, ki jaisa ann, vaisa mann
Aur jaisa paani, vaisee vaani
Isliye khaayein, peeyein, vichaarein shuddhi aur subuddhi se
Taaki swasth tann aur mann se khushhaal ho zindagaani.

Simran, sewa, sadhna se hota chale
Atma kee sadgati kee oar vikas
Guruji ke ashirwaad se ye sabb hai mumkin
Basharte nek ho hamaara iraada aur prayaas.

Guruji kee daya se kat-te rahein karma
Unke ashish se nibhaate chalein hum insaaniyat ka dharma
Badhti chale bhautik bhog mein anaasakti
Badhti chale atma kee shakti.

Swasth tann, swasth atma, aur swasth mann
Ye hain sabse anmol dhan
Asthaayee hai baaki dhan sabb
Khatm ho jaaye na jaane kabb.

Sona chaandi aadi khareedne mein nahin hai buraayee
Magar yaad rahe ki aise dhan ka sukh hai asthaayee
Isliye tann, mann, aur atma ke swaasthya ke liye karein parishram
Aur Guruji kee kripa se dhanwaan banein paakar asal dhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dhanwaan Banein (10/22/2022)