Maa Katyaayani (10/01/2022)

October 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1686

    Maa Katyaayani

Maharishi Katyaayan ko tapasya ka mila vardaan
Mata Rani janmi unke ghar mein bann kar Unkee santaan
Mata Rani ke is roop ka Katyaayani hua naam
Is anupam roop mein Maa ne karey Apne bhakton ke kalyaan.

Mata ke is roop anoop ko
Shatruhanta hai kaha jaata
Aathon siddhiyan kee devi Hain
Unkee kripa se roag dosh duur ho hai jaata.

Brajmandal kee adhishthaatri devi Hain
Sukh samriddhi pradaan karne wali
Maa ka yeh roop bhi hai sinh par savaar
Astra shastra kamal se saji hain Unkee bhujaayein chaar.

Vivaah sambandhi sukh ke liye bhi
Bhakt karte hain Maa Katyaayani kee upaasna
Jis tareh se Maa ne vadh kiya Mahishasur ka
Vaise hee Maa kee kripa se vinaash ho hamaare mann mein basey asur ka.

Guruji kahein hamein banda bann- ne ko
Unka simran karey hamaara pavitrikaran
Hum atma-sudhaar ka prayaas karein
Taaki changi rahe soch aur achche rahein karam.

Hamaari neeyat jo hogi saaf
Guruji karenge hamein maaf
Sumati se praapt hogi sadgati
Hamein paashon se mukt karenge Pashupati.

Asur baahar nahin, bheetar hain hamaare
Hamaare paash, jo hamein pahunchne nahin dete kinaare
Divyataa ke ashish hum in asuron ka kar paayein vinaash
Varna saans lete huey bhi hum hain ek zinda laash.

Zaroori hai chetna, abb aur waqt na ganvaayein
Lein simran se prerna, aur swayam ko adhogati se bachaayein
Anmol hai har shwaas, usey simran aur dhyan mein lagaayein
Sadasheelta kee raah par chalkar bande bann jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maa Katyaayani (10/01/2022)

Leave a comment