October 6, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1691
Har Aansoo Roopi Moti
Har aansoo roopi moti
Boond hai chhoti
Anmol hai, mann ka bol hai
Isey vyarth na baha.
Jisne jo kaha
Veh shaayad bhool gaya
Toone kya kya saha
Tujhe yaad raha.
Tu Guruji se kar baat
Unhonei dee hui hai izaazat
Har bhakt Unse baat kar sakta hai
Ye hai Unkee inaayat.
Kya hua jo toone jhele hain sitam
Kya hua jo tujhe huey hain zakham
Guruji ka pyaar hai marham
Aur veh aushadhi jo mita degi tera gumm.
Tere aansuon kee har boond
Guruji dekh paayein aankhein moond
Tera har bhaav, tera har ehsaas
Unkee nazar mein hai khaas.
Guruji ke sangg hai jo tera naata
Veh tujhe aur Unhe hai bhaata
Unke charnon mein tu jo sukh hai paata
Guruji Hain uss sukh ke pradaata.
Uss sukh ka karte huey dhanyawaad
Usey maan aur jaan kar Guru ka prasad
Unhee ke charnon mein reh paane ka maangta chal vardaan
Kyunki aur koi ho hee nahin sakta Guruji ke jaisa meharbaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja