October 9, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1694
Sharad Poornima
Solahon kalaaon se paripoorna chaand
Akash par karega raaj aaj
Kojaagari Purnima kee raat hai aayi
Maa Laxmi bhraman karne Hain aayi
Tabhi toh usey Kojaagari hai kaha
Kojaagari, yaani ki jaag raha hai kaun?
Chaahe chal raha hai raat ka maun.
Chandramaa kee har kiran aaj hai amrit ke samaan
Shraddha se bhakt jann mann se karein is amrit ka paan
Amrit varsha hoti hai akash mein
Shraddhaalu jann bheegte hain jiske sakaash mein.
Maharaas kee yojana kee Krishna Bhagwaan ne
Gopiyan magn huin Unn karuna nidhan mein
Banaayi gopiyon ne kheer aadi vyanjan
Aur Shri Krishna ne unhe diya aashwaasan.
Ratri mein Radha Rani ko pukaara Shri Krishna ne bansuri bajaakar
Radha Unke pyaar mein pahunchi swayam ko Laxmi Maa jaisa sajaakar
Chandrama karne lagaa varsha amrit kee
Kojaagari shabd nikla aur gopiyon ne bhi apni ichcha praapt kee.
Krishna ji ke ashirwaad se
Ek bhi gopi ke mann mein na aayi vaasna
Kamadev ne bahut koshish kee ki bichhaaye kaam bhaav ka jaal
Lekin Krishna ji kee kripa bann gayi gopiyon kee dhaal
Krishna ji ne toda Kamadev ka ahankar
Isliye bhi Sharad Poornima maana jaata hai tyohaar.
Ashwini nakshatra hai aushadhiya gunon se bharpoor
Maanyata hai ki is raat ko sadhna kee jaaye zaroor
Kaha jaata ki Maa Laxmi bhraman ke dauran
Dekhti hain ki jaaga hai kaun insaan
Kheer ko sheetal chandni mein rakhkar raat mein
Uska prasad grehen kiya jaata hai aur baanta jaata hai baad mein.
Guruji kee kripa se ho paaye simran aur dhyan
Unhee kee mehar se Unke bhakton ko miley asal gyan
Usee gyan kee seedhiyan chadhkar paayein ve adhyaatamik dham
Guruji, bakhshiye, taariye, aur keejiye sabhi ka kalyaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja