Naam Ka Daan (10/13/2022)

October 13, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1698

                Naam Ka Daan

Kalyuga mein jee rahe hain hum insaan
Chaahte hain ki ho hamaara kalyaan
Guruji ne diya hai Apne naam ka daan
Yeh daan swayam hai kalyaan kee khan.

Koi maamuli saugat nahin, balki ismein hai maalik kee karuna
Is naam ke nirantar chintan se saaf hota jaayega mann
Bhautikvaad se alag hai ye bilkul, iske aagey koi aukat nahin rakhta hai koi bhi dhan
Har sukh dukh ko bhool kar karta chal tu naam ka smaran.

Daan mein mila hai jo ye Gurujī ka naam
Iske sangg juda hai ye paigaam
Ki isey kabhi na padega lautaana
Aur koi tujhse chura nahin sakta yeh khazaana.

Balki naam daan toh hai Gurujī ka diya prasad
Ismein basaa hai anant ashirwaad
Jitna tu japega naam, badhta chalega uska prabhaav
Na mehsoos hogi mayoosi, na rahega koi abhaav.

Yaad rakhna, na karna naam daan par abhimaan
Naam se tu pahunchega sachkhand ke dham
Guruji ka naam hai har kalyugi klesh ke liye baan
Tera naseeb changa hai ki tujhe mila hai naam ka daan.

Naam ke daan ka roop hai noorani
Naam ke daan ka rangg hai ruhaani
Naam japne se sataa na sakegi koi bhi pareshaani
Naam japne se sanvar jaayegi teri zindagaani.

Zindagaani, kewal is janam kee nahin
Balki aane waale janmon kee bhi
Naam daan se aasaan ho jaayega pahunchna uss paar
Naam japp le aye bande, na kar abb tu aur intazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Naam Ka Daan (10/13/2022)

Leave a comment