Jeevan Kee Naiya (10/14/2022)

October 14, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar # 1699

                  Jeevan Kee Naiya

Jeevan kee naiya
Dol rahi thi beech majdhaar
Janam maran ke maalik ko
Dil raha thaa pukaar.

Dekh kar akash
Rooh kar rahi thi talaash
Aisa anokha prakash
Jo karey har andhkaar ka vinaash.

Agyanta ka andhkaar
Chinta ka andhkaar
Har vikaar ka andhkaar
Har paap ka andhkaar.

Mann mein sawaal thaa ki jeevan kee naiya
Paayegi ya nahin aisa khivaiya
Jo swayam ho prakash ka swaroop
Veh prakash, jo ho anokha aur anoop.

Beshak mujhe lagaa ki hui thodi si deri
Lekin bahut khushanaseebi thi meri
Ki Gurujī ne bulaaya mujhe Apne dar par
Dene naiya ko kinaare takk pahunchaane ka avsar.

Yakeenan uss se pehle mera waqt na thaa aaya
Guruji ne yakeenan tabb bhi Apna aanchal hoga bichhaaya
Aur mujhe goad mein tabhi bhi sambhaala hoga zaroor
Meri hee naadaani thi agar mujhe lagaa mai tabb thi Unse duur.

Guruji kee kripa se mit gaya hai har sanshay
Ve hee sambhaalte aaye Hain har pralay
Ve hee Hain veh anokha anupam prakash
Jiskee thi mujhe kabb se talaash.

Abb jaise bhi doley jeevan kee naiya
Swayam Gurujī Hain khivaiya
Mujhe na bhi dikhe, Unhe dikh raha hai kinaara
Unkee kripa se chamka hai meri kismat ka sitaara.

Duur ho raha hai andhkaar Unkee mehar se
Divya prakash ka dikhne lagaa hai noor
Mulaakaat nishchit hai ruhaani sehar se
Kalyaan hota rahega zaroor.

Shukrana karte karte karoon tayy is safar ko
Guruji se hai ye praarthanaa
Shraddha bhaav bakhshein Gurujī
Taaki nikharti rahe meri sadhna.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevan Kee Naiya (10/14/2022)

Leave a comment