Parivartan (10/15/2022)

October 15, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1700

                      Parivartan

Parivartan ho raha hai nirantar
Chaahe hamein maalum chale ya nahin koi antar
Kyunki parivartan achaanak ho, aisa nahin hota sada
Balki, parivartan kee aksar hoti hai dheemi aur sankuchit si adaa.

Mausam ho ya hon praani
Parivartan badalta hai sabki zindagaani
Yeh aasmaan, yeh dharaa
Har vriksh jo hai khadaa
Aur bhi badalte pehlu prakriti ke
Har pal ho rahe faisle niyati ke
Rishton kee duriyan aur nazdeekiyan
Ehsaas kee gehraayee kee baareekiyan
Kaam karne ke tareeke
Sansaar ke niyam aur saleeqe
Ye parivartan kewal baahar nahin ho raha
Balki hamaare bheetar bhi nirantar hai ho raha.

Hamaare siwa shaayad hamaara zor na chale kisee aur parivartan par
Lekin hamaari soch aur hamaare karma ka ho raha hai asar
Asar, na kewal swayam par
Balki aaspaas ke spandan par.

Guruji kee kripa se aaye hum mein vaisa parivartan
Jaisa Gurujī swayam chaahein
Uss parivartan se hum Gurujī ke aur bhi kareeb hotey chalein
Sahaara banee rahein Unkee baahein.

Guruji kee mehar se hamaare mann ko sthir karey simran
Simran aur dhyan se atmabal badhta rahe har kshan
Aisa ho pavitrikaran
Ki saaf hota rahe mann roopi bartan.

Bhaav kee shuddhi hoti chaley pehle se bhi zyada
Sakaaraatmak soch se aur bhi zyada sajey har iraada
Hamaara aantrik parivartan
Chhalkega hamaare vyavhaar mein
Sabhi jo ye tareeka apna lein
Toh kitna parivartan ho sakta hai sansaar mein.

Guruji kee dee prerna se
Guruji se milee chetna se
Kalyuga kee chunautiyon se hum na darein
Aur satyugi aatmaayein banein.

Parivartan toh hai hona hee hona
Kyun na koshish karein ki ho veh salona
Hamaare prayatn se santusht hoga mann
Aur Guruji hamaari koshish se hongei prasann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Gurujī 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Parivartan (10/15/2022)

Leave a comment