October 16, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1701
Ujjwal Hogi Bhakti
Beshak kshanabhangur hai yeh sansaar
Lekin jeevan mein ichchaayein hain aparampaar
Mann ka swami hona- ye hai iska aadhaar
Iska upaay hai atma ka uddhaar.
Mann hai bahut hee chanchal
Tez hai iskee daud
Mann ko kaabu mein kar le bande
Atma ke kalyaan kee oar mann ko moad.
Guruji ne bakhshi hai daat simran kee
Simran se yakeenan sthiti sudharegi mann kee
Simran hotey hotey hota jaayega gehra
Aisa hotey hotey badhta jaayega mann par pehra.
Jabb simran hoga pal pal
Tabb ye pehra hoga har pal
Mann galat sochne se katraayega
Aur bhatakne se bach paayega.
Kumm hota jaayega vishayon kee oar aakarshan
Simran aur dhyan kee badaulat anushaasan -baddh hota jaayega mann
Veh dheere dheere ekaagrataa aur sanyam se sajj jaayega
Aur waqt ke saath sthir honei lagg jaayega.
Mann ka sthir rehna bahut zaroori hai
Sthir mann kee durgati se alanghya duuri hai
Mann kee sthirtaa sadgati kee pradaata hai
Yahee raasta oordhvagati kee oar jaata hai.
Guruji Apne bhakton ko dete Hain
Simran aur dhyan dwaara gyan
Aawashyak hai bhakt ka nishchit prayaas
Varna veh banaa rahega mann ka das.
Yeh prayaas banaayega bhakt ko safal
Ruhaani hota chalega bhakt ka safar
Kumm hoti jaayegi vishayon kee oar aasakti
Kusangat ko tyaagne kee miltee rahegi shakti
Veh pal bhi aayega jabb hogi har vishay se poorna anaasakti
Aur jeete jee hee Brahma gyan se ujjwal hogi bhakti.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja