Ahoyi Ashtami (10/17/2022)

October 17, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1702

                   Ahoyi Ashtami

Kaartik maas ke Krishna Paksh kee ashtami tithi hai aayi
Ahoyi Maa kee vishesh pooja ka mahoorat hai ye laayi
Maatayein apni santaan kee lambi aayu aur unke mangal ke liye karti hain vrat aur vandan
Ahoyi Mata kee tasveer ko deewar par banaakar vandan ke sangg hota hai katha ka shravan.

Jin naariyon kee santaan nahin ho
Aur unhe ichcha ho santaan kee
Ve bhi rakhein upvaas is din
Poorti karne apne armaan kee.

Koi maa gobar se toh koi chaandi se bhi
Banaati hain Maa Ahoyi kee aakriti
Chitra aur aakriti mein banaaye jaate hain saahi aur bachche
Sabhi mataaon ke bhaav hotey hain mamta se bharey aur sachche.

Ganesh ji aur Maa Ahoyi ke sangg
Pooja kee jaati hai poore Shiv Parivaar kee
Maa Parvati toh paawan moorat Hain maa ke pyaar kee
Aur Ahoyi Ashtami pooja prerna deti hai is pyaar par aitbaar kee.

Raat mein arghya diya jaata hai taare ko
Maa Parvati swayam ashish deti Hain is pyaare nazaare ko
Ahoyi Maa Hain Maa Parvati ka swaroop
Isliye Ve Hain sampoorna mamta ka roop.

Santaan par koi mushkil na aaye
Santaan deergh aayu paaye
Maa Ahoyi kee kripa se aulad sukhi rahe
Vrat rakhne wali har mata pooja mein ye kahe.

Maanyata hai ki honei wali hai jo ghatna anhoni jeevan mein
Ahoyi Maa usey de sakti Hain badal
Is vishwaas se maatayein Ahoyi Ashtami par vrat hain rakhti
Taaki mangalmay ho unkee santaan ka aane wala kal.

Guruji ke liye har bhakt hai Unkee santaan
Ve karte Hain har bhakt ka kalyaan
Maa kee mamta aur pita ka pyaar
Inke dwaara Guruji karte Hain sabka uddhaar.

Hamaare achche swaasthya aur lambi umr ke liye
Guruji uthaate Hain itne kasht
Agam agochar Hain Ve beshak
Lekin Unhe chinta hai hamaari, yeh satya hai spasht.

Ahoyi Ashtami ke shubh din par
Guruji ke maatritva ka pun: karein dhanyawaad
Apne sab bachchon ko sambhaala hai Guruji ne
Ye hai hamaare liye sabse uttam ashirwaad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ahoyi Ashtami (10/17/2022)

Leave a comment