Dhanwaan Banein (10/22/2022)

October 22, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1707

                Dhanwaan Banein

Dhanvantari Hain Dev Ayurveda ke
Pauraanik kathaaon mein hai Unka gungaan
Amrit se bharaa sonei ka kalash liye aaye
Ve samundra manthan ke dauran.

Is amrit ke paan se devta Huey amar
Aur honei lagaa Dhanvantari Dev ka sammaan
Diwali panchotsav ka yeh pehle din
Hota hai Dhanvantari Bhagwaan ke naam.

Unke prakat honei ke do din pashchaat
Prakat huin Laxmi Mata
Isliye Unkee pooja ke sangg
Maa Laxmi ka poojan bhi hai kiya jaata.

Ganesh ji, Kuber Devta aur Yaamraaj ka hota hai vandan
Maanyata hai ki dhaatu ke bartan, sona, chandi khareedane se badhta hai bhautik dhan.

Ruhaaniyat ka raasta
Rakhta hai sanatan dhan se vaasta
Aur awashya prasann hon Paramatama
Jabb dhani ho hamaare tann, mann, aur atma.

Jabb takk hamaare tann mein hain praan
Hamaara farz hai rakhna is tann ka dhyan
Nirogi kaaya ke liye karein apni oar se prayatna
Shaareerik swaasthya hai anmol ratna.

Guruji Apni sangat ko dein is oar jaane kee prerna
Aur simran karne ko kahein taaki jaagrit hoti chale chetna
Guruji se seedhi taar jodkar karein har soch aur karma Unhe arpan
Taaki nek neeyat aur sadaasheelta se ho antakaran ka poshan.

Khud khaane se pehle
Guruji ko pehla nivaala shraddha se khilaayein
Guruji ke ashirwaad se
Mann ke vikaar mit jaayein
Humne suna hai, ki jaisa ann, vaisa mann
Aur jaisa paani, vaisee vaani
Isliye khaayein, peeyein, vichaarein shuddhi aur subuddhi se
Taaki swasth tann aur mann se khushhaal ho zindagaani.

Simran, sewa, sadhna se hota chale
Atma kee sadgati kee oar vikas
Guruji ke ashirwaad se ye sabb hai mumkin
Basharte nek ho hamaara iraada aur prayaas.

Guruji kee daya se kat-te rahein karma
Unke ashish se nibhaate chalein hum insaaniyat ka dharma
Badhti chale bhautik bhog mein anaasakti
Badhti chale atma kee shakti.

Swasth tann, swasth atma, aur swasth mann
Ye hain sabse anmol dhan
Asthaayee hai baaki dhan sabb
Khatm ho jaaye na jaane kabb.

Sona chaandi aadi khareedne mein nahin hai buraayee
Magar yaad rahe ki aise dhan ka sukh hai asthaayee
Isliye tann, mann, aur atma ke swaasthya ke liye karein parishram
Aur Guruji kee kripa se dhanwaan banein paakar asal dhan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dhanwaan Banein (10/22/2022)

Leave a comment