Brajvaasiyon Ka Khaas Tyohaar (10/25/2022)

October 25, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1710

Brajvaasiyon Ka Khaas Tyohaar

Aa raha hai Brajvaasiyon ka khaas tyohaar
Govardhan Puja ka yeh din aata hai varsh mein ek baar
Vaise jo Diwali ke agley din jaata hai manaaya
Veh Annakoot soorya grehen ke pashchaat jaayega manaaya.

Kul devi devtaaon ka kiya jaata hai vandan
Gaay bayyl ko snaan karaakar lagaaya jaata hai unhe chandan
Aakriti banaayi jaati hai Govardhan parvat kee aur sajta hai ghar ka aangan
Gaay kee aarti hai kee jaati aur hota hai Unka poojan.

Shri Krishna Bhagwaan kee pooja aur aarti ke baad
Chhappan vyanjan ka bhog lagaaya hai jaata Bhagwaan ko
Devraj Indra ke kop se Krishna ji ne bachaaya thaa praaniyon ko
Aur toda thaa Indra Dev ke ahankar ko.

Apni chhoti anguli par utha liya thaa Unhonei Govardhan parvat
Nakaam hua Indra dwaara rachaaya baarish roopi sankat
Sabhi Brajvaasiyon ne milkar banaayi subzi annakoot kee is dauran
Govardhan Parvat ke taley surakshit hokar bach gayi unn sabki jaan.

Prati din aath baar khaane wale Shri Krishna Bhagwaan
Saat din niraahaar rahe uthaakar parvat mahaan
Isliye bhakton ne Unhe chhappan bhog ka diya sammaan
Aur tabhi se chalaa aa raha hai is prathaa ka gungaan.

Kaha jaata hai ki Indra Dev ne Krishna ji se maanga kshama daan
Dharma kee shiksha dekar Unhe kshama ka mila vardaan
Unkee irshya mit gayi aur Unhonei dobara na kiya pehle jaisa shoshan
Krishna ji kee kripa se hota raha prajaa ka sundar poshan.

Guruji Apne bhakton ke liye
Kitne sankat roopi pahaad uthaate Hain
Dharma kee shiksha dete Hain Gurbani ke simran dwaara
Ahankar mitaate Hain aur dete Hain hamein sahaara.

Kshama daan dete Hain
Gurujī bakhshanhaar Hain
Taarte Hain bhakton ko
Ve taaranhaar Hain.

Agam agochar Hain Guruji
Kintu Unkee daya barasti hai aparampaar
Guruji ne hee toh sambhaala hua hai
Apne sabb bhakton ka ghar sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Brajvaasiyon Ka Khaas Tyohaar (10/25/2022)

Leave a comment