Guru Ram Das Ji (10/11/2022)

October 11, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป# 1696

               Guru Ram Das Ji 

1534 mein Sitambar 24 kee tithi ka hai atyadhik mahatva
Bhai Jetha Ji janme nibhaane srishti kee oar apna kartavya
Amritsar ka nirmaan karne wale thei jo ye Guru
Lahore kee Choona mandi se hua Unka jeevan shuru.

Unke pita Hardas ji aur mata Dayaji ne choda yeh sansaar
Jabb baal avastha mein thei Bhai Jetha Ji nirankaar
Ve bade Huey apni naani ke paas Basurke gaanon mein rehkar
Naani kee madad ke liye chane beche Unhonei kasht sehkar.

Baarah varsh ke thei Ve, jabb Ve apni naani ke sangg pahunche Goindval
Guru Amar Das Ji kee kripa drishti se ho gaye Ve nihaal
Bhai Jetha Ji ne sewa kee Guru Amar Das Ji kee, shraddha se, bin kisee kaamna kee
Guru Amar Das Ji ne jaan lee gehraayee Bhai Jetha Ji kee sewa bhavna kee.

Guru Amar Das Ji ne Apni putri Bhani ji se Bhai Jetha Ji ka kiya vivaah
Ve prasann thei Bhai Jetha Ji ke sewa bhaav se aur Unhe Gurugaddi saumpne kee thi chaah
Phir bhi Guru Amar Das Ji ne lee Bhai Jetha Ji kee pareeksha
Teesri baar bhi Bhai Jetha Ji ne thadaa banaaya toh milee Unhe Guru Amar Das Ji se deeksha.

Bhai Jetha Ji baney sikhon ke chauthe Guru
Ek taalaab ke kinaare dera daalna kiya Unhonei shuru
Veh taalaab thaa divya shakti wale amrit ka sarovar
Isee ke aadhaar par uss sheher ka naam hua Amritsar.

Sarovar ke beechon beech
Guru Ram Das Ji ne karaaya puja sthal ka nirmaan
Svarn Mandir hua is sthal ka naam
Jo hai ek teerath mahaan.

Gurbani, Anand Kaaraj mein raha Guru Ram Das Ji ka anupam yogdaan
Neeven, aur saral, aur mahaan thei Ve karunanidhaan
Guru Ram Das Ji ke Prakash Purab par
Naman hai Unkee divyata aur saralta ko
Unkee prerna se hum apnaayein
Apne jeevan mein taralta aur nirmalta ko.

Guruji kahein ki hum karein Gurbani ka shravan
Guruji kee kripa se maanein Guruon kee bani aur vachan
Seekhein Unse saadagi aur saralta
Dekhein Unkee nirmalta aur taralta
Hum bhi apne jeevan ko phir sudhaarein
Hum bhi apne kaaj sanvaarein.

Guruji ko shukrana baar baar
Ki dete Hain ashish baarambaar
Guruon mein basey Hain Nirankaar
Sabhi Guruon ko aparampaar namaskaar.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Guru Ram Das Ji (10/11/2022)

Khade Hain Bhakt Kataar Mein (10/10/2022)

October 10, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป# 1695

     Khade Hain Bhakt Kataar Mein

Khade hain bhakt kataar mein
Nanak dukhiya sansaar mein
Is intazaar mein
Ki sunvaayee ho Gurujฤซ ke darbar mein.

Darasal sunvaayee toh ho rahi hai vahaan
Lekin hamein kabhi hota hai aur kabhi nahin hota hai anumaan
Kyunki bhautikvaad aa jaata hai Gurujฤซ aur hamaare darmiyaan
Aur phir yaad aati hai Guruji kee jabb jokhim mein padti hai jaan.

Hum sabhi hain karmon ke maare
Guruji Hain hum sabhi ke liye divya sahaare
Bhakt Gurujฤซ ko pukaare ya na pukaare
Guruji toh Hain madadgaar param pyaare.

Kyun na har pal karein Unka chintan
Mann hee mann Unkee mehar se chale simran
Unse mehsoos hee na ho duuri ek bhi kshan
Toh phir nishchint beet jaaye yeh jeevan.

Vaise bhi, ruhaaniyat ka saath hee hai sanaatan
Kyunki kehte hain na, ki hum hain ruhaani praani
Insaaniyat toh safar hai jo tayy karti hai zindagaani
Phir kyun karein hum ruhaaniyat se bichhad jaane kee naadaani?

Praakritik hai ruhaaniyat, sahaj hai bilkul
Phir bhi ho jaate hain hum vyaakul
Kyun atma ka shoshan karein?
Kyun na atma ka poshan karein?
Kyun na dein atma ko aahaar simran aur dhyan ka
Kyun na atma ko anand lene dein gyan ke amrit ke paan ka.

Aisa kar sakne ke liye Guruji kee kripa hai anivaarya
Hum Gurujฤซ kee sharan mein hain, ye hai sarvottam saubhagya
Insaaniyat ke aavaran mein jeete huey ruhaaniyaat ko nikhaarte chalein
Is janam ke saath pichhle janmon ke karmon ke phal ka silsila bhi sanvaarte chalein.

Rehte huey phir is sansaar mein
Na rehna padega sunvaayee kee kataar mein
Dakhila mila hai Gurujฤซ ke darbar mein
Jahaan koi sanshay nahin hai ruhaaniyat ke nikhaar mein.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Guruji ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Khade Hain Bhakt Kataar Mein (10/10/2022)

Sharad Poornima (10/09/2022)

October 9, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป# 1694

                  Sharad Poornima

Solahon kalaaon se paripoorna chaand
Akash par karega raaj aaj
Kojaagari Purnima kee raat hai aayi
Maa Laxmi bhraman karne Hain aayi
Tabhi toh usey Kojaagari hai kaha
Kojaagari, yaani ki jaag raha hai kaun?
Chaahe chal raha hai raat ka maun.

Chandramaa kee har kiran aaj hai amrit ke samaan
Shraddha se bhakt jann mann se karein is amrit ka paan
Amrit varsha hoti hai akash mein
Shraddhaalu jann bheegte hain jiske sakaash mein.

Maharaas kee yojana kee Krishna Bhagwaan ne
Gopiyan magn huin Unn karuna nidhan mein
Banaayi gopiyon ne kheer aadi vyanjan
Aur Shri Krishna ne unhe diya aashwaasan.

Ratri mein Radha Rani ko pukaara Shri Krishna ne bansuri bajaakar
Radha Unke pyaar mein pahunchi swayam ko Laxmi Maa jaisa sajaakar
Chandrama karne lagaa varsha amrit kee
Kojaagari shabd nikla aur gopiyon ne bhi apni ichcha praapt kee.

Krishna ji ke ashirwaad se
Ek bhi gopi ke mann mein na aayi vaasna
Kamadev ne bahut koshish kee ki bichhaaye kaam bhaav ka jaal
Lekin Krishna ji kee kripa bann gayi gopiyon kee dhaal
Krishna ji ne toda Kamadev ka ahankar
Isliye bhi Sharad Poornima maana jaata hai tyohaar.

Ashwini nakshatra hai aushadhiya gunon se bharpoor
Maanyata hai ki is raat ko sadhna kee jaaye zaroor
Kaha jaata ki Maa Laxmi bhraman ke dauran
Dekhti hain ki jaaga hai kaun insaan
Kheer ko sheetal chandni mein rakhkar raat mein
Uska prasad grehen kiya jaata hai aur baanta jaata hai baad mein.

Guruji kee kripa se ho paaye simran aur dhyan
Unhee kee mehar se Unke bhakton ko miley asal gyan
Usee gyan kee seedhiyan chadhkar paayein ve adhyaatamik dham
Guruji, bakhshiye, taariye, aur keejiye sabhi ka kalyaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Sharad Poornima (10/09/2022)

Kal Tu Na Jaane Hoga Kahaan (10/08/2022)

October 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1693

      Kal Tu Na Jaane Hoga Kahaan

Bhaag nahin sakta tu is jahaan se
Jaayega toh jaayega kahaan
Jinke saath tere karmon ka khaata hai
Ve sab hain yahaan.

Tabhi toh tujhe bheja gaya hai yahaan
Taaki jeete huey unn sabke darmiyaan
Tu kar paaye apne karmon ka bhugtaan
Is se pehle ki tu chod jaaye ye jahaan.

Tere karmon ka gavaah hai ye zameen aur aasmaan
Tere karmon par nazar rakh rahe Hain swayam Bhagwaan
Guruji kee sharan mein hai tu
Unke kamal charan mein hai tu
Ve kar rahe Hain tere karmon ke bhugtaan
ka intazaam
Aur saath mein har pal rehte Hain tere haath ko thaam
Isliye shukrana kar is avsar ka
Shukrana kar Gurujฤซ ke dar ka
Chod de pallu shanka aur darr ka
Kyunki Gurujฤซ swayam Hain roop Har ka.

Himmat rakh, rakh vishwaas
Guruji kee prerna se jaagrit rakh shraddha aur ullaas
Apni neeyat aur karam par dhyan de
Naam ke simran se ruhaani gyan le.

Har soch aur har karam ko kar Gurujฤซ ko arpan yahaan
Guruji angg sangg Hain tu hai jahaan
Kal tu na jaane hoga kahaan
Lekin Gurujฤซ tere angg sangg awashya hongei vahaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Kal Tu Na Jaane Hoga Kahaan (10/08/2022)

Bhog Ke Uss Paar (10/07/2022)

October 7, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1692

               Bhog Ke Uss Paar

Purushaarth ke antargat
Moksh se pehle hai bhog
Jismein samavesh hai dharma, arth, aur kaam ka
Sab ek kism se uddeshya hai har insaan ka.

Guruji bhi jabb kahein, โ€œAish karโ€
Toh shaayad dete Hain bhog bhogne ka var
Raat aur din
Lekin aasakti ke bin.

Guruji chaahein karna Apne sabb bhakton ka kalyaan
Is raaste par toh bhog buss ek anubhav hai safar ke darmiyaan
Moksh hai is raaste ka mukaam
Ya yoon kahiye, ki kalyaan roopi manzil ka naam.

Anivaarya hai yeh swayam ko yaad dilaana baar baar
Taaki bhog bhogte huey bhog se na ho jaaye aisa pyaar
Ki usee se phir chalne lagey yoon sansaar
Jaise kuch aur hai hee nahin bhog ke paar.

Darasal veh mukaam hai bhog ke paar
Jiske baad khatm hota hai atma ka intazaar
Atma ka Paramatama se hota hai milan
Safal hota hai janmon ka kiya simran.

Guruji se hai ardaas
Ki na ho jaaye aisa bhog vilaas
Na ho jaaye bhog ka aisa nasha
Ki baad mein ho jaaye durdasha.

Guruji kee mehar se ho paaye simran
Hota chale bheetar se pavitrikaran
Atmabal badhe, das bann kar rahe mann
Taaki har karma ho Gurujฤซ ko arpan.

Na ho koi vikaar na bhog mein aasakti
Raasta dikhaati chale Guruji mein bhakti
Uss raaste par chalne kee miley buddhi aur shakti
Taaki bhog ke pashchaat mil paaye mukti.

Guruji, kripa kar ke rakhna sada Apni sharan mein
Anant sukh hai Aapke kamal charan mein
Moksh ke liye taayaar hon Aapki kripa ke sahaare
Aapke dwaare par hee bakhshna hamein bhog ke uss paar ke nazaare.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Bhog Ke Uss Paar (10/07/2022)

Har Aansoo Roopi Moti (10/06/2022)

October 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป# 1691

Har Aansoo Roopi Moti

Har aansoo roopi moti
Boond hai chhoti
Anmol hai, mann ka bol hai
Isey vyarth na baha.

Jisne jo kaha
Veh shaayad bhool gaya
Toone kya kya saha
Tujhe yaad raha.

Tu Guruji se kar baat
Unhonei dee hui hai izaazat
Har bhakt Unse baat kar sakta hai
Ye hai Unkee inaayat.

Kya hua jo toone jhele hain sitam
Kya hua jo tujhe huey hain zakham
Guruji ka pyaar hai marham
Aur veh aushadhi jo mita degi tera gumm.

Tere aansuon kee har boond
Guruji dekh paayein aankhein moond
Tera har bhaav, tera har ehsaas
Unkee nazar mein hai khaas.

Guruji ke sangg hai jo tera naata
Veh tujhe aur Unhe hai bhaata
Unke charnon mein tu jo sukh hai paata
Guruji Hain uss sukh ke pradaata.

Uss sukh ka karte huey dhanyawaad
Usey maan aur jaan kar Guru ka prasad
Unhee ke charnon mein reh paane ka maangta chal vardaan
Kyunki aur koi ho hee nahin sakta Guruji ke jaisa meharbaan.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Har Aansoo Roopi Moti (10/06/2022)

Tu Muskuraa Le (10/05/2022)

October 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1690

    Tu Muskuraa Le

Aayi hai kali ghataa
Par tu bilkul matt ghabraa
Tera Guru hai sabse bada
Har pal tere saath hai khada.

Guruji Hain Ve Guru
Ve tera kalyaan kar chuke Hain shuru
Tu ho jaa befikr
Kyunki tu raha hai tarr.

Bahut khushakismat hai tu
Tujhe miley Hain pooran Guru
Isliye tu muskuraa le
Apna bhaagya jagaa le.

Teri har muskuraahat
Banegi sakaaratmakta kee aahat
Laayegi aur muskuraahaton kee chaahat
Aur degi tujhe niraasha se raahat.

Teri muskuraahat Gurujฤซ ko rijhaayegi
Teri muskuraahat tujhe Unke aur bhi kareeb laayegi
Teri muskuraahat tere bheetar utsaah badhaayegi
Aur tujhe aagey badhne kee prerna dilaayegi.

Guruji hongei tere saath har kadam par
Guruji Apna ashish denge tujhe umr bhar
Guruji ke ashish se tujhe milenge anokhe avsar
Jin se safal hota chalega tera safar.

Na rahegi kali ghataa
Na ghabraahat tujhe sakegi sataa
Tu muskuraa kar shukrana kar adaa
Ki Gurujฤซ Hain tere sangg sada.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Tu Muskuraa Le (10/05/2022)

Sharad Navratri Ke Utsav Ka Samaapan (10/04/2022)

October 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1689

Sharad Navratri Ke Utsav Ka Samaapan

Aaj hai Sharad Navratri ke utsav ka samaapan
Maa Siddhidatri kee vishesh pooja ka hai din
Kamalaasan par Hain Maa viraajmaan
Himalaya ke Nanda parvat par hai Unka teerath sthaan.

Maa kee chaar bhujaaon mein hain
Kamal ka phool, chakra, shankh, aur gadaa
Maa Siddhidatri aadhaar shakti Hain
Ve poorna karti Hain bhakton kee ichchaayein sada.

Asht siddhi nau nidhi
Vivek aur buddhi
Mata karti Hain pradaan
Aur chehre par hai pyaari si muskaan.

Koi karey mantron ka uchchaaran
Koi karey stotra dwara maa ka vandan
Shuddh bhaav se jo bhi pooje
Maa karey uss bhakt ke kashton ka khandan.

Guruji bhi chaahein bhakton ka shuddh bhaav
Unhe Apni sangat ko santusht dekhne ka hai chaav
Navratri ke parv ko jaise sab utsaah se manaayein
Vaise hee jeevan ka har din khushi se bitaayein.

Neenven hokar rahein
Dil se shukrana kahein
Maangein kshama daan aur daat simran kee
Saump kar Gurujฤซ ko doar jeevan kee.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Sharad Navratri Ke Utsav Ka Samaapan (10/04/2022)

Durga Maha Ashtami (10/04/2022)

October 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1688

             Durga Maha Ashtami

Durga Maha Ashtami ka aaya hai avasar
Maa MahaGauri kee pooja ka din
Reeti rivaaz ke anusaar
Ye parv poora nahin kanya poojan ke bin.

Nakaaratmak oorja ke naash ke liye
Kayi jageh par hotey hain havan
Naariyal ka bhog, mogre ka suman
Inse karein bhakt Maa MahaGauri ka poojan.

Maa MahaGauri pradaan karey daampatya jeevan mein sukh
Maa har leti hain paarivaarik dukh
Shant svabhaav wali maa Hain karunamayi
Trishul aur damru dhaaran karne wali Maiya Hain snehmayi
Rangg hai gora, Vrishabh par Hain Maa savaar
Bhakton ke liye sada khula hai Unka dwaar.

Maa ke sammaan mein hota hai kanya poojan
Har umr kee kanya hoti hai maa ke bhinn roop ka prateek
Kanyaaon ko halwa poori chane ka diya jaata hai prasad
MahaGauri maiya prasann hokar bhakton ko deti Hain ashirwaad.

Is Maha Ashtami ko Veer Ashtami bhi kaha hai jaata
Kyunki Maa ke astron kee pooja bhi kee jaati hai
Mamta aur kshamta ka soumya roop hai Maa Durga ka har roop
Veh har roop mein bhakton kee raksha karne ka vaada nibhaati Hain.

Guruji dein pita ka pyaar aur maa kee mamta
MahaShiv ka roop Hain Ve, aparampaar hai Unkee kshamta
Jis bhi tareh se sochein aur maanein, Ve madadgaar Hain
Bahut khushakismat hain Unke bhakt, kyunki Guruji swayam Parwardigaar Hain.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Durga Maha Ashtami (10/04/2022)

Durga Saptami (10/02/2022)

October 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป # 1687

                    Durga Saptami

Durga Saptami ka din hai aaya
Maa Kaalratri ko hai ye samarpit
Nakaaraatmak shaktiyon par Vijay paati Hain Mata
Koi bhakt nahin rehta Unke ashirwaad se vanchit.

Char bhujaaon wali Maiya Kaalratri
Dhaaran karein kaale varn wala shareer
Kintu Hain Ve itnee dayalu
Ki chamkaa dein bhakton kee taqdeer.

Maa kee saanson se nikalti hai jwaala
Maa ka yeh roop hai bhakton ka rakhwala
Deti hain upaasakon ko aisa abhay daan
Ki unhe daraa nahin sakta koi shatru ya sankat roopi shaitaan.

Sir par bikhre huey kesh
Maa mita deti Hain bhakton ke klesh
Roop andhkaar kee bhaanti hai kaala
Lekin apne bhakton ke jeevan mein laayein Ve ujaala.

Kaalratri maa ke prataap se
Bhakt mukhy honted hain dukh santaap se
Maa asur shaktiyon ka karti Hain vinaash
Nasht karti Hain bhakton ke har tareh ke paash.

Guruji ko Unke bhakt poojein
Shiv aur Shakti roopi hai Unka paraakram
Guruji ka naam japte rehne se
Virodhi shakti na kar paaye bhakt par aakraman.

Guruji ne saari sangat ko
Maa aur pita ke pyaar ka diya hai sahaara
Guruji ke divya leelamayi roop mein
Praapt hota hai anupam nirmal nazaara.

Durga Saptami ke shubh avsar par
Maa Kaalratri ko naman
Divya ashirwaad se khila rahe
Har bhakt ke ghar parivaar ka chaman.

๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน๐ŸŒน

Jai Gurujฤซ ๐Ÿ™๐Ÿป๐Ÿ™๐Ÿป
Dhirja

Durga Saptami (10/02/2022)