Sabse Badi Daat (11/05/2022)

November 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1721

               Sabse Badi Daat

Shraddha ke suman se atma ka shringar kiya
Aadar kee chaadar odh kar veh khadi
Mann ko baahari maamalon se hataakar
Bachchi bheetar kee oar chali.

Samarpan ke rath par thi savaar
Guruji ko yaad karte huey baarambaar
Jo kuch ya koi jaisa thaa
Veh karti gayi sab sweekaar.

Maafi maangti, maafi deti hui
Saanson mein vayu kee khushboo leti hui
Apne bheetar dekhti hui
Beej Mantra ke spandan se chetan hui.

Duniyadari se ho rahi thi vikarshit
Guruji kee oar hoti jaa rahi thi aakarshit
Usne bhakti kee jwaala na kee pradarshit
Jwaala ke jagmagaane se hui veh harshit.

Farz nibhaane hain zaroori, veh gayi thi samajh
Lekin unse judna chodkar gayi thi sulajh
Har kaarya ko karne lagi thi Guruji ko arpan
Halka mehsoos kar raha thaa uska mann.

Usey magn rakhta raha Guruji ka fitoor
Hoti gayi uskee vishay aasakti duur
Koi rishta na kar paaya usey majboor
Chaa gaya uspar poori tareh se Guruji ka noor.

Na din ka hosh raha usey na raat ka
Fark hee nahin padta thaa usey kisee baat ka
Usey santosh thaa Guruji ke anant ruhaani saath ka
Usne shukrana kiya Guruji ko is sabse badi daat ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabse Badi Daat (11/05/2022)

Leave a comment