November 7, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1723
Bhakt Ka Bhaav
Bhaav niswaarth pyaar ka
Bhaav bin shart aitbaar ka
Bhaav shraddha aur samarpan ka
Bhaav ekaagra hokar simran ka.
Bhaav bholepan ka
Bhaav neevenpan ka
Bhaav jismein bhayy nahin
Bhaav jismein sanshay nahin.
Bhaav bin ahem ka
Bhaav bin vehem ka
Bhaav sewa aur honei qurbaan ka
Bhaav balidaan ka.
Bhaav shishya ka, das ka
Bhaav vikaaron ke upvaas ka
Bhaav bhakt ka, bachche ka
Bhaav iraade sachche ka.
Bhaav kartavya nibhaane ka
Bhaav Guru mahima gaane ka
Bhaav jismein ho parabhakti
Bhaav jismein ho vairagya kee shakti.
Bhaav aatmabodh kee oar badhne ka
Bhaav ruhaani oonchaayee chadhne ka
Bhaav swayam mein sudhaar laane ka
Bhaav khud ko kho kar Guruji ko paane ka.
Bhaav nirlep rehne ka, jaise neeraj
Bhaav jismein basaa rahe dheeraj
Bhaav sakaaratmakta ka
Bhaav aadhyaatmikta ka.
Bhaav bin maange Guruji kee maan-ne ka
Bhaav apni khaamiyon ko pehchaan-ne ka
Bhaav Guru charanodak peene ka
Bhaav shukrana mein jeene ka.
Bhaav sardiyon kee meethi dhoop sa
Bhaav uttam pavitra anoop sa
Bhaav sheetal chhaaya ke jaisa
Bhaav jaisa Guruji chaahein, bilkul vaisa.
Guruji, Aap Apne har bhakt ka bhaav dekhna chaahein jaisa
Aapki mehar se Aapke har bhakt ka bhaav ho bilkul vaisa
Bhakt Aapke chaahe bhaav se Aapse juda rahe har kshan
Bhakt ka ekmaatra uddeshya ho rakhna Aapko prasann.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja