November 9, 2022
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1725
Guruji Kee Huzoori Mein
Guruji kee huzoori mein reh tu satkaar se
Char din kee zindagi hai reh tu pyaar se
Koi laabh nahin chaalaaki ke vyaapaar se
Kuch lekar nahin jaana hai yahaan ke sansaar se.
Saath jaayenge apne hee karam
Isliye unhee par de dhyan
Paap ka bojha halka ho
Rakh is baat ka dhyan
Jabb jabb ho sakey
Leta chal Guruji ka naam
Guru ke naam mein hee
Basaa hai tera kalyaan.
Chintan kar, kar Guruji ka vandan
Na honei de mann kee shanti ka khandan
Tu jaanta hai ki vyarth hain moh maya ke bandhan
Phir kyun unse rogi karta hai tu apna tann mann?
Roam roam mein Guruji ke naam ko basne de
Ardaas kar Guruji se iske liye
Ve karunanidhaan kripaalu Hain
Jalaayenge tere antarmann mein Apne naam ke deeye.
Guruji Hain Shiv avatari
Ekmaatra sahaara hai is kalyuga mein Unka naam
Unka diya mantra ‘Om Namaha Shivaya’ se hota hai shuru
Unka naam japne se nishchit hai tera kalyaan.
Unke prati bhaav rakh shraddha aur pyaar ka
Niraasha na hogi agar tujhe jhelna pada kuch samay intazaar ka
Guruji tere liye intazaam kar rahe Hain kalyaankaari uphaar ka
Unhe yaad rehta hai har lamha teri har pukaar ka.
Unhee se judey rehne ka prayaas kar
Unhee se rishta gehra karta chal
Baaki sab rishte karmic khaate ke anusaar aate jaate rahenge
Unmein tu apna farz nibhaata chal.
Is chaar din ke mele mein jee lene ke baad
Sabhi ne chale jaana hai
Janam chaahe jitne bhi hon
Antt mein Atma ko Paramatama mein samaana hai.
Guruji atma ko manzil takk pahunchaane mein param madadgaar Hain
Meet Hain, Nath Hain, Guru Hain, swayam hee Parwardigaar Hain
Kshamasheel Hain, sabhi bhakton ko karte sweekaar Hain
Tu prem aur nishtha se Unka naam japp, Ve taral taaranhaar Hain.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja